twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

SALAM UMM UL BANEEN (sa) | Mir Sajjad Mir | New Manqabat 2021 | Manqabat Bibi Umm ul Baneen 2021

Bismillah...Ya Baab e Hawaij Umulbaneen a.s
Mir Sajjad Mir | First Ever Manqabat Related to Bibi Umm ul Baneen (sa)

#salamummulbaneen​ #mirsajjadmirmanwabat​ #manqabat2021​

---------------------------------------------------------------------------- 
Manqabat Title | Salam Umm ul Baneen (as) 
Written and Recited By | Mir Sajjad Mir
Video Shoot By | Molana Salman Namdar, Aun Rizvi , Mesum Zaidi 
Composition | Mir Sajjad Mir
Audio | Lawa Studio
Translation | Mohsin Rizvi (USA)  
Video | Focus Studio
---------------------------------------------------------------------------- 

Manqabat Lyrics 

umm ul Baneen deen e khuda ka nisaab hai
iski fazeelato ka bhala kab hisaab hai
kaisay ihaata ho key samandar ka aab hai
yani har sawaal ka bus ye jawaab hai
hai iski bargah mey midhat guzaar chand
isney Ali key ghar ko lagaye hai char chand

Ghar may Ali kay aaaien tho pehla kiya ye kaam
chaukaht pekad ke bint e Nabi ko kiya salaam
boli kaneez aaii hai is ghar kay karney kaam
dein izn aap aapkay ghar may karu qiyaam
pardte huwi durood wo Zehra ki yaad mein
baab e hawaijaat aagai sehn e muraad mein

Zainab ke kaam kerna ibaadat samaj liya
kacchay makaan ko deen ki imaarat samaj liya
har gaam tang-dasti ko naiymat samaj liya
mawla ki baat baat ko ayat samaj liya
saaye ko inki apnay amaaa bolnay lagay
zehra kay laadlay inhey maa bolnay lagay

ek din wo din bhee aya ke tha jis ka intezaar
Ghar mey Ali ka aagai Abbas e naamdaar
shehzadi shukr karti thi khaliq ka baar baar
khud arsh poochta tha kay hai kaun zee waqar
umm ul baneen hai kaun si dawlat liye huway
phaiy laai haat mawla Ali hai kahday huway

mansab jahaa mey sabsay anokah mila inhe
zehra ki khuwaisho ka khulasa mila inhe
had hogai wafaao ka kaaba milah inhe
beta nahi nabi ka nawasa milah inhe
surat may apnay beta ki rab ka wali diya
ye bibi wo hai jisney Ali ko Ali diya

laikar pisar ko goud may Mawla kay phir kaha
shaadi say pehela mai nay ye ek khawab deyka tha
aya tha meri goud mey wo chaand arsh ka
ab jaakay is kaneez pe ye raaz hai khula
wo chaand kab tha aapka ka akkas aya tha
madar sey milney khawab mey Abbas aaya tha

Zehra ko unkay bayto ka hubdaar deydiya
haider ko phirsay jafar e tayyar deydiya
shabbar ko ek aur wafa daar deydiya
shabbir ko tho fauj ka salaar deydiya
yaad aaiga rasool key naaib ka bachpanap
deykayinge panjetan abu Talib ka bachpana

ghazi ko isney waada nibahna sikah diya
sajjad isney deen ko bachana sikah diya
bachpan mey ye alam ko utahna sikah diya
nazaron sey dushmano ko daraana sikah diya
battees saal tak wo jiya is jalaal say
koi nazar mila nasaka iskay laal say
 

Related Videos