Mola Abbas Manqabat 2021 - JANG E ABBAS ALAMDAR - Joan Rizvi Manqabat 2021 - 4 Shaban Manqabat 2021
Description
BISMILLAH... Mola Abbas Manqabat 2021 - Jang e Abbas Alamdar Abhi Baqi Hai - Joan Rizvi 2021 - 4 Shaban Manqabat 2021 - Manqabat Mola Abbas 2021 - 4 Shaban Wiladat Mola Abbas (as) Video Details! Reciter | Joan Rizvi Poetry | Zeeshan Abdi Sb Composition | Akbar Abbas Sb Camera | SHAJ Productions Video Edit | Sk Films Audio | Sahib Studio Audio Mixing and Mastering | ODS Karachi Creatives | SHAJ Productions Islamic Date - 4 Shaban Wiladat Mola Abbas (as) ============================== MANQABAT - L Y R I C S Lab pay Abbas kay tatheer ki ayat hogi Hoga salaar yeh mehdi ki qayadat hogi Zehan main dushman e Shabbir ki soorat hogi Ab na rokay ga koi sabki ijazat hogi Zinda lotaingay nai samnay anay walay Jung Abbas ki dekhaingay zamanay walay Hamza o jaffar tyar sajaingay issay Faqar say pass Ali apnay bulaingay issay Yaad sifeen ki is tarhan dilaingay issay Apnay hathoon sa woh talwar thamaingay issay Sath zainab ki duaon ka khazana hoga Chadar e zehra kay sayay main rawana hoga Ghaiz ankhoon main bhara hoga baraye dushman Iski talwar sa niklay gi sada chun chun chun Ker rahay haungay sir e dushman deen chorkay tan Badla zahra o sakina ka yun laga ghazi Kunfuzo shimr ko maray ga tamacha ghazi Chehra her dushman e zahra ka ussay khatkay ga Jisnay darwaza giraya tha ussay pathkay ga Koi abbas kay nazdeek nai bhatnay ka Is kay hathoon main jo ayay ga woh latkay ga Jis ghar phekay ga dushman ko masal ker ghazi Paslian tooray ga paon say kuchal ker ghazi Roz e ashoor woh sab khoon bahanay walay Samnay ayaingay jab woh zulm dhanay walay Teer kahaingay sab hi teer chalanay walay Khaak ho jayaingay khaimoon ko jalanay walay cheeni jis jisnay Rida unko nai choray ga Unkay hathoon ko khud Abbas jari today ga Jung aise to kisi na bhi na dekhi hogi Zindagi mout main dushman ki badalti hogi Jaisay kartoot thay ab mout bhi wese hogi Chaye maidan main bus bayat e Ghazi hogi Saray ghar waloon ki gunjay ki sada zindabad Mehdi khud bolaingay aey mere chacha Zindabad Ki Muhammad say amanat mIn khayanat jisnay Kheench ker pehni thi poshak e khilafat jisnay Kerdia sunkay bhi inkaar e wilayat jisnat Aur jhutlaye hai sachoon ki ki sadqat jisnay Woh pharoon pa charain gharoon main chup jayain kaheen Jakay Abbas dilawar unhay maray ga waheen Joan o zeeshan khuda janay kay kia kia hoga Kaun kis jurm main haqdaar saza ka hoga Jab woh ayay ga to maloom irada hoga Main to bus soch mai kehta raha aisa hoga Mujhko maloom nai kaisa woh manzar hoga Haan magar hai yeh yakeen issay bhi berh ker hoga - Z e e s h a n - A b i d i - __________________________
Comments
0