twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Nohay 2021 | MAULA YA HUSSAIN | New Noha 2021 | Karbalai Brothers Nohay 2021 | Title Noha 2021/1443

Muharram 1443 / 2021 | New Noha 2021 | MAULA YA HUSSAIN | Muharram Nohay 2021 / 1443 | Karbalai Brothers Title Noha 2021 | New Nohay 2021 | Imam Hussain | Muharram 1443 | Karbala

Kalam Title | Maula Ya Hussain (as)
Recited By | Karbalai Brothers
Poetry By | Ali Naqi Karbalai
Composition | Ustad Akbar Abbas 
Audio | ODS - Karachi
Video Editing | The Focus Studio
Album | 2021 / 1443H
Islamic Date | Muharram 1443/2021

- NOHA LYRICS -

Qibla o kabaa Hussain As
Waali o Aqaa Hussain As
Aye meray Mola Hussain As
Hussain As rehnuma
Hussain As paishwa
Hussain As Badshah
Hussain As Shehanshah
Mola ya hussain As

●1
Karbala mujh ko phir ik baar dikha day mola
Meri soyi hui taqdeer jagah day mola
Aa kay dahleez pay teri mei karunga sajday
Izn Abbas As say ab mujh ko dila day mola
Ye tamana hai meri ya Hussain As
Ab ziarat hou teri Ya Hussain As

●2
Mei bhi kahlaon wahan pani pilanay wala
Jootiyan zair e sarwar ki uthany wala
Bain ul harmain mei aon tou sab hi kah uthein
Agaya shah kay ab nohay sunany wala
Dun mei nohay ki azaan ya Hussain As
Khoob girya hou wahan ya hussain As

●3
Hai sakhawat teri mashoor aye ibn e zahra Sa
Apnon ka gairon ka dil tu nay kbhi na tora
Jisnay jou chaha tha paya hai yahan bin mangay
Teray darbaar sy tou koi bhi khali na gaya
Jholiyan bharta rha ya Hussain As
Hai ataaon ka khuda ya Hussain As
LABAIK LABAIK LABAIK YA HUSSAIN AS
ABAD WALLAH YA ZAHRA MAA NINSA HUSSAINA
QIBLA O KABAA HUSSAIN AS WAALI O AQAA HUSSAIN AS

●4
khadim e turbat e shabir agar ban jaon
Mei habib ibn e mazahir sy duaein paon
Teri jaali ko pakar kar ye dua mangunga
Mola mei chor kay tujh ko na  kabhi bhi jaon
Dy aqeedat ka silaa ya hussain As
Apna darbaan bana ya hussain As

●5
Haye Ashoor kay din tujh pay qayamat guzri 
Qasim o Akbar O Abbas As raha na koi
Zulm kay teer sy mara gaya Asghar As tera
Shimr ki taig teray sookhay galay par hai chali
Ayi zahra Sa ki sadaa ya Hussain As
Be khataa mara gaya Ya hussain As
AP PAR JAAN FIDAA YA ABA ABDILLAH
MERAY MAA BAAP FIDAA YA ABA ABDILLAH
MERI AULAAD FIDAA YA ABA ABDILLAH

●6
Saniye zehra Sa ki mehnat baa khuda baaqi hai
Mit gaye zulm o sitam Karbobala baaki hai
Ab bhi ati hai ye shabbir kay rozay sy sadaa
Jaan bachanay kay liye karbobala baaki hai
Maujiza saaz hai tu ya Hussain As
Haq ki awaz hai tu Ya hussain As

●7
Teray hi dar kay gadagar hain Naqi aur Asghar
Roz e mehshar bhi ye kahlayein teray noha gar 
Chor sakty hi nahi teri azadari ko
Jaan lutanay ko hain tayar teray matamgar
Ab Zamana wou dikha ya hussain As
Hum ko Mehdi As sy mila Ya hussain As