Nohay 2021 | Har Waqt Ya Hussain | New Noha 2021 | Ali Raza Irani Nohay 2021 | Title Noha 2021
بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم
Nohay 2021 | Har Waqt Ya Hussain | New Noha 2021 | Ali Raza Irani 2021 | Title Noha | New Nohay 2021 | Ishqe Karbala Noha 2021 हर वक़्त या हुसैन
#Nohay2021 #HarWaqtYaHussain #AliRazaIrani #NewNoha2021 #newnohay2021#MoharramNoha1443
Video Details:
��Title : Har Waqt Ya Hussain
��Reciter : Ali Raza Irani
��Poet : Mazhar Lucknowi
��Composition: Ali Raza Irani
��Backing Vocals : Rizwan Mirza & Team
��Audio Vocal: S K Studio
��Audio Recording : Owais Quraishi
��Mix/Mastered : M. Omar Qureshi (ODS)
��Camera : Hajari Films
��Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
��Label: Ali Raza Irani
Special Thanks To All My Team Who Supported Me.
●● KALAM LYRICS ●●
Karbala karbala karbala
Ya hussain ya hussain ya hussain
Mera sukun hussain hai mera junoon hussain hai
Hussain ka hoon mai ghulam hussain hai mera imam
Ye karam hai ba khuda hussain ka
Kar raha hoon mai jo sajdaye khuda
Ishq ye namaz se jo hai sada sajdaye hussain ka hai mojiza
Ya hussain ya hussain har waqt ya hussain
Khoon ki har aik boond me hai ishqe karbala
Dil me bhi ya hussain hai lab par bhi ya hussain
Dil ke har waraq pa hai likha hussain
Aur dhadkano me hai basa hussain
Khalq ka imam hai mera hussain
Ab na hoga koi dusra hussain
Jainnate fida uski shaan par
Uska hai karam is jahan par
Jab talak jiunga mai kahunga ya hussain
Sirf hai ye karbala se aashna
Sunta hai ye bas hussain ki sada
Baat hai raaz ki mujhe pata
Ye ghame hussain ka mojiza
Ba wafa hai ye be wafa nahi
Qalb me mere hai mera nahi
Jab bhi dil dhadkta hai kahta hai ya hussain
Aala azeem hai rutba hussain ka
Fakhre zameen hai rauza hussain ka
Mujhko mila hai ye rutba hussain ka
Mai noha khwan hoon maula hussain ka
Naam me hussain ke ye shaan hai
He me hikmato ka ik jahan hai
Ye me yaa ali ka aasman hai
Seen me karam ka saayban hai
Aur noon hai noor ka nishan
Name shaahe deen fakhre do jahan
Deene mustafa ki ye sada hai ya hussain
Shahe karbala hi mere shaah hain
Shah me khgubiyan bhi be panah hain
Ye karam ki faiz ki nigah hain
Shah har ik sadi ki darsgah hain
Aalime azeem shane bandagi
Bemisal hai shah ki zindagi
Jab qalam uthaya to likha hai ya hussain
Rahib aaya jab dare hussain par
Aik manga saat use mile pisar
Hur pa bhi karam ki shah ne ki nazar
Bakhsh di khata diya jinah me ghar
Tha sakhawato ka jo silsila
Chaudah sadiyon baad bhi nahi ruka
Be misal ye karam tera hai ya hussain
Mai kya bataun hai kya kya hussain ka
Jannat hussain ki kaba hussain ka
Meraje deen hai sajda hussain ka
Har daur me hai sar ooncha hussain
Har jagha hussain matame hussain
Sayae hayat parchame hussain
Haq parast saare hamdame hussain
Har khushi ka pasban ghame hussain
Har maraz ki hai aik hi dawa
Nuskhaye shifa khake karbala
Hum sabhi ka sirf wazifa hai ya hussain
Marziye hussain marziye khuda
Hai jahan me khas inka martaba
Hum ne jo bhi manga wo hume mila
Rad nahi hui kabhi koi dua
Kuch nahi tha jab tab hussain tha
Shah ke waste ye jahan bana
Khanaye khuda bhi kah raha hai ya hussain
Jo nabi ki dosh ka sawar hai
Wo hussain sahibe waqar hai
Us ke har amal se hum ko pyar hai
Sajdaye hussain yadgar hai
Aaj bhi azan ki aan hai hussain
Aur namaz ki jaan hai hussain
Sab ne mana sab ne ye kaha hai ya hussain
Sadiyon ke baad bhi ye gham hussain ka
Deta hai dil ko chain har gham ki hai dawa
Farshe aza pe jo ik baar aa gaya
Uski najat ki zamin hai karbala
Hashr tak hai dar hussain ka khula
Hur bula raha hai aye zamane aa
Ye sakhi hain bakhsh denge har khata
Karbala me ab nahi koi bala
Hain bahare ab thin jahan khiza
Khul me jo hai hai wohi sama
Momino humara rahnuma hai ya hussain
Jo dile hussain ke qareeb hai
Dosti ki shan wo habeeb hai
Haq parast naamwar adeeb hai
Is jahan me sab se khush naseeb hai
Hai jo shaan ki wo ye baat hai
Aaj bhi habib shah ke saath hai
Karbala me humne ye dekha hai ya ussain
Mahdi mazharo raza ki hai dua
Sab ghulame shaah jaaye karbala
Jo bhi maange zayreen ho ataa
Kul jahan pa ho karam hussain ka
Har bala ho door is jahan se
Har juloose gham utthe shaan se
Aap se humari ilteja hai ya hussain
Comments
0