twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Nohay 2021 | Acha Baba Sulane To Aoge Naa | Bibi Sakina New Noha 2021 | Mazhir Abbas Nohay 2021/1443

Muharram 2021 / 1443 | Muharram Nohay 2021/1443 | Nohay 2021 | Acha Baba Sulane To Aoge Naa | Bibi Sakina New Noha 2021 | Mazhir Abbas Nohay 2021/1443 | Bibi Sakina Noha 2021

Video Details! 
Noha khwan – Mazahir Abbas 
Noha Title – Acha Baba Sulane To Aoge Naa
Poet – Salman Azmi (Late) 
Composition – Own Rizvi 
Chorus -  Own Rizvi, Owaishyder Taqvi, Raza Jafri, Fraz Ali, Waji Shah
Audio – ODS Karachi 
Video – Focus Studio 
Graphics – Qasim Zaidi
Media partner – Mobitising Inc
Islamic Date | 1st Muharram

Originally recited by Syed Zain Abbas Shah

#MazahirAbbas #NewNoha2021 #BibiSakina #Nohay2021 #Muharram #NewNohay2021 #Muharram1443 #Nohay #Muharram2021 #BibiSakinaNoha #ImamHussain #AchaBabaSulaneToAageNaa


============================== 
Lyrics 

Kar raha hai yeh rawi baya’n Karbala,
Usne aashoor ki shab Ka manzar Likha,
Seena e Shah pa binte Shah e Huda, 
aur shabbir kehte the yeh barha, 
Ham ko jana hai kal karne wada wafa,
tum pe aajae ga sabr ka marhala, 
bat saari sakina ne sheh ki suni, 
aur jawaban wo bas itna kehti rahi,
(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

1. Bole shabbir aye meri noor e nazar 
tumko karna hai ab shaam tak ka safar
tumko qaidi banaenge ab ehle sharr
boli shehzadi mujhko nahi koi darr
tum kaho tum sulane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

2. Shaah kehne lage aye meri laadli
tumpe aayegi ab shaam e ghum ki ghadi
aag daman mein hogi tumhare lagi
boli wo fikr mujhko nahi hai koi
mera daman bujhane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

3. Muztarib dil se kehne lage shah e dee’n
teri qismat mein beti sukoo’n ab nahi
ab tamache lagaega shimr e laee’n
sunke ye baat kehne lagi wo hazee’n
shimr se tum bachane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

4. Phir kiya sheh ne beti se kuch yu sukhan
sab haram honge ab to aseer e mahan
ter haatho’n mein bhi ab bandhegi rasan
boli ye baat sunke wo tashnadahan
tum gale se lagane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

5. Roke shabbir ne uske bose liye
bole rukhsar bhi honge zakhmi tere
tere rone ke shehzadi din aagaye
boli tum kaise dekhoge rote hue
haan mujhe chup karane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

6. Badhti jati thi bechaini shabbir ki
har sitam wo uthane pe raazi hui
zinda baba na hoge samajh naa saki
sunke sab mushkilein bas ye kehti rahi
gar mai ruthi manane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

(Acha Baba sulane te aaoge na, 
roz chehra dikhane to aaoge na)..(2)

7. Likhke salman dil phat raha hai mera
zayn jab shahe wala ne rokar kaha
ab to zindaan marqad banega tera
beti sabir ki thi boli wo sabera
mera lasha uthane to aaoge na
roz chehra dikhane to aaoge na

==============================