twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Nohay 2021 | GHAM E HUSSAIN MANANA | New Noha 2021 | Ahmed Raza Nasiri Nohay 2021 | Muharram 1443

GHAM E HUSSAIN MANANA BOHOT ZARURI HAI | Ahmed Raza Nasiri | Nohay 2021 | New Nohay 2021 | Noha 2021 | Imam Hussain Noha 2021 | Muharram 2021 / 1443


Video Info:
Noha | Gham e Hussain manana bohot zaruri hai
Reciter and Composed | Ahmed Raza Nasiri
Poetry By | Yawar Yousufi
Chorus | Arif Baltistani, Tariq Purkistani, Mir Basharat Baltistani, Ahmed Raza Nasiri
Audio Recorded By | ODS KARACHI
Director | Mahmood Ali Achoali
Cameraman | Amir Jokhio
Edit | Turab Zaidi
Translation | Sister Zaynab Hyder
Creatives | Shuja Gfx


●● NOHA LYRICS ● ● 

Gham e Hussain a.s manana bohat zaruri hai 
Hussaini shama jalana bohat zaruri hai 

◾Qadam qadam pe zamana mizaj badlay ga 
Usool badlenge sara samaj badlay ga 
Agr hayat ho behtar tw raaj badlay ga 
khuda ka deen bachana bohat zaruri hai 

◾Tamam aalam e islam ko batana hai 
Usool din ka rasta hamy dikhana hai 
Sadaqato ka musalla hamy bichana hai 
Alam jari ka uthana bohat zaruri hai

◾Wo karbala hai jaha kufr ka bharam toota 
Yazeed jeet ke dunya me hogaya ruswa 
Maqam e hazrat e shabbir a.s sarbuland raha 
Ye dastan sunana bohat zaruri hai

◾Nishan e matam e Shabbir a.s ki sada hai ye 
Hamy yaqeen hai ashko ki iltija hai ye
Jinab e fatima zahra s.a ki b dua hai ye 
Aza ka farsh bhichana bohat zaruri hai

◾Khuda ka noor sina pr quran prhta raha
Nabi saww ka chehra ali a.s ka jalal kehta raha 
Wo jiska paak irada sada ye deta rha 
Yazeediat ko mitana bohat zaruri hai 

◾jamal e arsh e mualla zameen e karbobala 
Rasool Zade ne isko ye martaba baksha 
Ke khak khak nhi khak hai ye khak e shifa 
Jahan jabein ko jukana bohat zaruri hai

◾Namaz e ishq e mawaddat prhi bahattar ne 
Zamanay bhar ko bataya hussaini lashkr ne 
Hamy ye dars dia karbala ke mimbar ne 
Amal se ishq dikhana bohat zaruri hai

◾Nigah e fikr ye kehti rahi mujay yawer 
Imam e waqt kay lashkr ki aarzu ho agr 
Dar e Hussain a.s se naslo ko zindagi dekr 
Wafa shuar banana bohat zaruri hai