twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Abal Fazl | Mesum Abbas Nohay 2021 | Muharram | Noha Hazrat Abbas

Abal Fazl | Mesum Abbas Nohay 2021 | Muharram | Noha Hazrat Abbas

Qaafila Salar e Haram...! Abal Fazl...!

Noha Recited & Composed By Mesum Abbas. Penned by Azlan Azmi (son of Rehan Azmi).
#Muharram #Nohay #AbalFazl

LYRICS:

ABAL FAZL - 8X
ABAL FAZL - 8X

Aye QAMAR E BANI HASHIM-2X
Kar Nazar E Karam Hakim
Dete Hain Sada Khadim - ABBAS

Tu IBNE ALI Hai, Aalim Ka Wali Hai -2X
Tu SHAH Ka Lashkar, Tu SHER E JARI Hai

QAFLA SALAAR E HARAM
ABAL FAZL -2X

1) Tum Ko ILAHI Se YADULLAH Ne Manga
Beta Tumhe Kehti Hain Khud FATIMA ZEHRA
Saye Mein Rehte Hain Tere SYED E WALA 
Tu SAKINA Ka Chacha Hai
Tu Shahanshah E Wafa Hai
Misle E ALI JAAHO HASHAM - ABAL FAZL 

2) 8 Muharram Ko Mujhe SAQQA Bana Ke
Girwi Kiya Bandh Ke Ek Dori ALAM Pe
Maa Ne Kiya MAULA Mujhe Tere Hawale
Chahe Dushman Ho Zamana
Tu Agar Sath Hai MAULA Toot Nahi Sakta Bharam - ABAL FAZL

3) Kisne Kaha Teri Ata Aam Hai MAULA
Tera Sakhawat Mein Bara Naam Hai MAULA 
Bigri Bana Dena Tera Kaam Hai MAULA
Sare Aalam Ke Nigehdaar
SANI E HAIDAR E KARRAR
Khas Karo Hum Pe Karam - ABAL FAZL

ALI IBNE ALI-2X

HAZRAT E ABBAS -ALI IBNE ALI
Aye Dil E Hassas-ALI IBNE ALI
Deen Ke Almaas-ALI IBNE ALI
Rekhna Hamain Paas-ALI IBNE ALI

SANI E HAIDAR -ALI IBNE ALI
Deen Ke Mehwar-ALI IBNE ALI
Bazu E SARWAR-ALI AS IBNE ALI AS
SHER E DILAWAR

Ishq Mera-ABAL FAZL
Rab E Wafa-ABAL FAZL
Uqda Kusha-ABAL FAZL
Bab E Ata-ABAL FAZL
MAULA Mera-ABAL FAZL

4) Kyu Na KHUDA Tum Ko Pukaru'n Main Wafa Ka
Baazu Juda Ho Gaye Kuch Bhi Nahi Bola
Zakhmi Hui Teer Se Jab Mashk E SAKINA
Ba KHUDA Toot Gai Aas
Khaak Par Gir Gaye ABBAS
Kha Gaya Mashkeeze Ka Ghum - ABAL FAZL

5) Pusht Se Rahwaar Ki Jab Aye Zamee'n Par
MAULA Mere Tum Ne Nahi Dekha Palat Kar
Burha Usi Pal Mein Hua Tera Biradar
Ek Qayamat Hui Barpa
Aa Gai'n Dasht Mein ZEHRA
SHEH Ki Kamar Ho Gayi Kham - ABAL FAZL

6) MESUM O AZLAN Ye GHAZI Ki Sada Hai
Ghum Nahi Be Gor O Kafan Lasha Mera Hai
Ghum Hai Bara Sar Meri ZAINAB Ka Khula Hai
Haan ALAMDAR Hai ZAINAB
Dee'n Ki Salaar Hai ZAINAB
Ab Na Kaho Rab Ki Qasam 
- ABAL FAZL 

QAFLA SALAAR E HARAM
ABAL FAZL