Betay Ky Qatilon Sy | Mir Hasan Mir Nohay 2021 | New Nohay 2021
Description
Betay Ky Qatilon Sy | Mir Hasan Mir Nohay 2021 | New Nohay 2021 | Muharram 2021/1443 #BetayKyQatilonSy ‎#MirHasanMirNohay #Nohay2021 Noha | Betay Ky Qatilon Sy Recited By | Mir Hasan Mir Soz | Janab Raza Shah Poetry By | Janab Mir Takallum Composition | Janab Raza Shah Audio Recorded By | ODS Studio (KARACHI) Video & Editing By | TNA Production Translation | Ahmed Virani (USA) Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative ●● NOHA LYRICS ● ● ●Betay Ky Qatilon Sy, Ekk Baap Pochta Hai ●Haye Akbar (as), Haye Akbar (as) Betay Ky Qatilon Sy, Ekk Baap Pochta Hai Koi Mujhay Bata De Lasha Kahan Para Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Dil Per Meri Behan Ky Khanjar Chala Diya Hai Kis Ny Humaray Ghar Ka Suraj Bujha Diya Hai Din Main Andhera Meri Ankhon Main Hogaya Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Pyasay Ko Be Watan Ko Itna To Maat Satao Chal Chal Ky Thak Gaya Hoon Logon Mujhay Batao Ab Aur Kitna Baqi Maqtal Ka Fasla Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Ghazi (as) Ko Tum Ny Mara Main Chup Raha Na Bola Akbar (as) Ko Mara Neza Main Chup Raha Na Bola Tum Sy Sawal Karlon Itna To Haq Mera Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Maa Ko Baighair Dekhe Beta Guzar Na Jaye Poncha Do Mujh Ko Jaldi Mazloom Mar Na Jaye Awaz Arahi Hai Wo Hichki Ly Raha Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Khemay Sy Jab Chala Tha Kehti Thi Meri Behna Pamal Ho Na Jaye Akbar (as) Ki Lash Bhaiya Kano’on Main Meray Ab Tak Baqi Wohi Sada Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Dil Baitha Ja Raha Hai Ruktay Nahi Hain Ansu Jungle Sy Arahi Hai Us Ky Lahu Ki Khushboo Kuch Sansain Chal Rahi Hain Ya Sher Chal Basa Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Aulad e Mustafa Sy Kis Tarhan Phir Gaye Ho Karyal Jawan Ka Marna Asan Samhaj Rahe Ho Tum Log Hans Rahe Ho Dil Mera Ro Raha Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Ehl e Haram Ki Akbar (as) Umeed Akhri Hai Kehti Hai Yea Zaifi Mera Assa Yahi Hai Ab Do Qadam Bhi Chalna Dushwar Hogaya Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai ●Ghurbat Hai Aur Takallum Ibn Shah e Najaf Hai Koi Bola Is Taraf Hai Koi Bola Us Taraf Hai Akhir Pukaray Mola Ghazi (as) Tumhain Pata Hai Akbar (as) Mera Kahan Hai
Comments
0