twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

13 Rajab Manqabat 2022 | Mola Ali | New Manqabat 2022 | Ali Aa Phonchay | Mukhtar Hussain Fatehpuri

13 Rajab New Manqabat 2022 | Mola Ali | Mola Ali Manqabat 2022 | Ali Aa Phonchay | Mukhtar Hussain Fatehpuri | Imam Ali Manqabat 2022 | Manqabat Mola Ali 2022 | Mola Ali New Qasida 2022 | Imam Ali | New Qasida 2022 | 13 Rajab Qasida 2022 | Ya Ali | Ya Haider | Ya Ali Sher e Khuda | Haider Haider | Ali Ali

Bismillah - Ya Ali(a.s) Madad
RAJAB MANQABAT 2022 - 1443 | NEW MANQABAT MOLA ALI (A.S)
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Releasing Third New Manqabat Mola Ali(a.s) From Album 2022
★Ali (AS) Aa Phonchay★

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Video Details:
Manqabat Title: ★Ali (AS) Aa Phonchay ★
Recited By | Mukhtar Hussain Fatehpuri
Poetry By | Janab Majid Raza Abidi
Composition | Izhar Hussain Fatehpuri
DOP & Arrangements | Syed Ali Haider Jafri
Creatives | MA Creations Minhaj Ahmed
Video By | Focus Studio
Audio & Mixing | ODS Karachi

● ● MANQABAT LYRICS ● ● 

Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider Ali Ali Ali Ali Ali Ali Ali Haider

Abhi Tou Binte Asad Thin Tawaf-e-Kaaba Mein
Ke Patharon pe khushi se ajeeb laali thi
Khuda ka shukr ke ik simt ruk gayin warna
Har ek simt se deewar phatnay wali thi

Bol uthi kaabay ki deewar Ali (as) Aa Phonchay
Mere qibla mere sarkar Ali (as) Aa Phonchay
Ali (as) Aa Phonchay

Ajj Se Phele Tou Mein Kiya Tha Faqat Ek Makan
Zoja-e-Hazrat-e-imran (as) ka hai ye ehsaan
Ab mujhe milgaya ghar baar Ali (as) Aa Phonchay

Fatah khyber na hua jab tou nabi (saww) thy hairan
Kiya jibreel ne tab akay nabi se ye bayan
Gham na khayein mere sarkar ali (as) Aa phonchay

Ghar mein Allah ke aye jab Ali (as) sher e khuda
Dant kar haatif e ghaibi ne buton se ye kaha
Chor dein ghar mera aghyaar Ali (as) Aa phonchay

Kia bhala misr ke bazar ka ho zikr wahan
Khud muhammad (saww) khuda bhi hon kharidar jahan
Char gaya makkay ka bazar ali (as) Aa phonchay

Hakim e sham zara phooch pidar se apnay
Badr ki jang mein ajdaad tere aye tou thy
Bhaagay sab phenk ke hathyaar Ali (as) Aa phonchay

Surmaaon ke muqbil ju hi aatay thy ali (as)
Thar tharatay hue apas mein wo kehtay thy yehi
Ab yahan rukna hai bekaar ali (as) Aa phonchay
 

Qabr mein matam e sarwar ka sila yun paya
Bangayi qabr e azadar najaf ka saya
Bol uthay sheh (as) ke azadar Ali (as) Aa phonchay

Mere nalon ka juhi taba najaf shor gaya
Kahan mushkil gayi aur uska kahan zor gaya
Mein tha mushkil mein giraftaar Ali (as) Aa phonchay

Agaye Majid O Mukhtar Jo kabaay mein Ali (as)
Shor utha toor pe wo noor hua tha jo jali
Karlo us noor ka deedar Ali (as) Aa phonchay