twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

13 Rajab Manqabat 2022 | QUL YAA ALI | Ahmed Raza Nasiri New Manqabat 2022 | Mola Ali Manqabat 2022

ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll

13 Rajab New Manqabat 2022 | QUL YAA ALI | Ahmed Raza Nasiri New Manqabat 2022 | Mola Ali Manqabat 2022 | Imam Ali Manqabat 2022 | Manqabat Mola Ali 2022 | Mola Ali New Qasida 2022 | Imam Ali | New Qasida 2022 | 13 Rajab Qasida 2022

-----------------------------------------------------------------------------
Manqabat Title | Qul Yaa Ali (as) 
Reciter | Ahmed Raza Nasiri
Poetry | Yasir Abbas Shah 
Composition | Nayyer Abbas (Skardu) and Ahmed Raza Nasiri 
Video | Mahmood Ali Achoali 
Edit | Turab Zaidi 
Creative | Shuja gfx 
Audio | Rao Muttahar - RWDS 
Chorus | Arif Baltistani, Mir Basharat Baltistani 
Special thanks | Ali Shigri Baltistani 
Album | 2022 / 1443H

*LYRICS*

HAIDER HAIDER HAIDER... 

Nam e Haider k siwa ghair pe khulti hi nhe
Dil ki deewar bhi deewar e haram jesi hai

Ali imam e man ast o manam ghulam e Ali 
Hazar jan e girami fida ba naam e Ali 

Qul Ya Ali Qul Ya Ali Qul Ya Ali 

Kehta hai Khuda kehty hein nabi
Har qul ki sada jumla hai yahi

Qul Yaa Ali 

Mola k fazail ki koi had he nhe hai
Aisa abul zameen hai jo arsh e baree'n hai
Qibla bhi ye aisa hai jo kaaby ka makee'n hai
Har jaa hai jo mojood wo mojood yahi'n hai
Quran mai raqam 
Ayaat e karam 
Kehti hai manam
Tash'heer e wali

Qul Ya Ali 

Sadiyo'n k intezaar ka aisa sila dia
Dono jaha'n ka sar meri janib jhuka dia
13 rajab ko bola Ali se khuda ka ghar
Qibla mujhe to ap ne kaaba bana dia

Har lafz mai har kun ki ibadat bhi Ali hai
Har dor mai naafiz wo shariyat bhi Ali hai
Hakim mere Allah ki hikmat bhi ali hai
Kaabe ky tabassum ki wazahat bhi ali hai
Behlol numa
Har barg o shajar
Wash shams o qamar
Kehty hein sabhi

Qul Ya Ali 

Honto'n pe risalat ky imamat ka qaseeda
Balligh mere maula ki wakalat ka qaseeda
Hai dast e nabi mai ye hidayat ka qaseeda
Yani hein yadullah wilayat ka qaseeda
Ab waah kro
Ya aah bharo
Kehna hai magar
Foran ye abhi

Qul Ya Ali 


Sidra pe Muhammad ki nigaho'n ka nazara
Dooby huy sooraj ne palat kr ye pukara
Hai naam e Ali chand k chehre pe sitara
Meesam ki mawaddat ka sar e daar hai nara
Socho to sahi 
Dekho to sahi
Har aik wali
Kehta hai yahi

Qul Ya Ali 

Jo hai azal abad pe wo ehsaan Ali hai
Har doar mai har zaat pe rehman Ali hai
Boly jo salooni wahi quraan Ali hai
Sad shukr ay ilahi mera sltan Ali hai
Rab ki hai sanad
Haider ki madad
Hasil hai jisy
Kehta hai wahi

Qul Ya Ali 

Bachna ho agar tum ko shayateen k shar se
Lebanon o Palestine mai Kashmir mai dar se
Be khof agar Shaam mai rehna hai khatar se
Tum door na rehna kabhi Haider ke nagar se
Rakh kr ye hadaf
Chal shehr e najaf
Qadmo'n ko barha
Kr wird abhi

Qul Ya Ali 

Tu kon se chakkar mai magan hai mere bhai
Maqsood e Khuda sirf wilayat ki gawahi
Kia khud ko kabhi baat ye ik yaad dilai
Matloob e wila (teenso tera) 313 hein sipahi
Is mai hai bhala
Is ko na bhula
Yasir ye sada
Ahmed se suni

Qul Ya Ali