twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

13 Rajab Manqabat 2022 | Jeena Hai Ishq e Haider | Karbalai Brothers | Mola Ali New Qasida 2022

13 Rajab Manqabat 2022 | Jeena Hai Ishq e Haider | Karbalai Brothers New Manqabat 2022 | New Manqabat Mola Ali 2022 | Imam Ali Manqabat 2022 | New Qasida Mola Ali 2022 | Mola Ali Manqabat 2022 | 13 Rajab Mola Ali Manqabat

Video Details!

-----------------------------------------------------------------------------
Kalam Title | Jeena Hai Ishq e Haider
Recited By | Karbalai Brothers
Poetry By | Ansar Hussain Rizvi
Composition | Sahir Ali Bagga
Audio | RWDS
Video Editing | The Focus Studio
Cover Design By | Minhaj Ahmed
Album | 2022 / 1443H
Islamic Date | Wiladat Imam Ali 13 Rajab 2022/1443

*MANQABAT LYRICS*

Ali Ali Ali As
Meri dharkan mei Ali as
Meri saanson mei Ali as
Meray lehjay mei Ali as
Meri baaton mei Ali as
Dam hama Dam Ali Ali as
Ali Ali mola as

Jeena hai ishq e Haider As
Marna hai ishq e Haider
Tera hi dam tou har dam bharna hai ishq e Haider As

Rab nabi baad hain sab say Alaa Ali as
Haq ka paigaam hai har nagar har gali
Kuch nahi gar nahi hai Ali ki wilaa
Rab kay nabiyon ki waliyon ki hai ye sadaa
Ya Ali as

●Rab nay apna wali kah kay izzat bhi di
Mustafa ka wasiyo akhi bhi yahi 
Gar kitaab hotay tou hotay quraan Ali as
Tujh saa Aalim bahadur na koi sakhi
Saari duniya karay teri madh o sana
Teri amad py kabaa bhi qiblaa bana 

●Rab ka farmaan tha nabiyon ko maan tha
Hukm e quran tha khum ka maidaan tha
Ehle dil khush thy shaitaan pareshan tha
Ye Ali as ki wilayat ka ailaan tha
Jou Ali as ki wilayat kay munkir rahay
Kalma parh kar bhi wou loug kaafir rahay

●Ishq e Haider as rakhay khud khuda zuljalaal
Apni chah say kia hai Ali as baa kamaal
Ishq e haider as mei tha Mustafa ka ye haal
Bas Ali as ki hi baatein Ali as ka khayaal
Dawat e zul asheera taa youm e ghadeer
Har jaa hain Mustafa kay Ali hi wazeer

●Bola kul e emaan haq hai tera nishaan
Bas tera naam hai mera wird e zubaan
Tera rutba karay koi kesay bayaan
Teri madhaa karay khaaliq e dou jahaan
Teray ghar taraa akay salami bhi day
Teray ghar har farishta ghulami karay