twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

3 Shaban Manqabat Imam Hussain ع | Hussainع Teri Qasam | Mukhtar Hussain Fatehpuri New Manqabat 2022

3 Shaban Manqabat Imam Hussainع | Hussainع Teri Qasam | Mukhtar Hussain Fatehpuri New Manqabat 2022 | Ya Hussain | Mola Hussain Manqabat | New Imam Hussain Manqabat 2022 | Manqabat Imam Hussain | Manqabat 3 Shaban

Bismillah - Labaik Ya Hussain Ibn Ali (a.s)
Hussain (a.s) Hussain (a.s) Ya Hussain (a.s) Mola Hussain (a.s)
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
✮24th Manqabat Album✮
Releasing New Manqabat 2022 | ✮Hussain(a.s) Teri Qasam✮ 

3 Shaban - 1443H
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Video Details:
Manqabat Details:
MANQABAT TITLE | ✮Hussain(a.s) Teri Qasam ✮
Recited by | Mukhtar Hussain Fatehpuri
Poet | Janab Mir Takkallum Mir
Composition | Janab Izhar Hussain Fatehpuri
Concept & Art Direction | Syed Ali Haider Jafri
Audio | ODS Karachi
Video | Focus Studio - Safdar Kaleem
Video Creative Execution | Minhaj Ahmed
Creatives | Minhaj Ahmed (M.A Creations)
Chorus | Rizwan Mirza & Team

#3ShabanManqabat #ImamHussain #ManqabatImamHussain #3Shaban #manqabat2022 #NewMolaHussainQasida #3ShabanManqabat2022

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

● ● MANQABAT LYRICS ● ● 

Hussain(as) Hussain(as) Ya Hussain(as) Mola Hussain(as)

Pukara Khana-e-Kabaa Hussain(as) Teri Qasam
Hai Tere Sajday Se Sajda Hussain(as) Teri Qasam

Nishan Sham Ke Lashkar Ka Sham Ko Na Milay
Tu Ek Baar Jo Baisheer Ko Ijazat De
Uthade Hashar Ye Bacha Hussain(as) Teri Qasam

Zuban Pe Boltay Quran Ki Tilawat Hai
Ye Pehli Surah-e-Wal Fajr Ki Jo Ayat Hai
Khuda Ne Khayi Hai Mola Hussain(as) Teri Qasam

Mili Thi Kehnay Pe Man Misli Usko Rab Se Saza
Magar Hussain(as) Ke Jhoolay Se Par Milay Tou Kaha
Koi Nahi Mere Jaisa Hussain(as) Teri Qasam

Wo Haal Kardungi Khutbon Se Tere Qatil Ka
Ali(as) Ki Beti Nahi Mein Agar Yazeed Bacha
Behen Ne Karliya Wada Hussain(as) Teri Qasam

Bhuja Charagh Jala Tou Hussain(as) Ke Ansaar
Pukartay Thy Gaalon Par Rakhay Hue Talwaar
Tujhy Na Choringe Tanha Hussain(as) Teri Qasam

Kaneez-e-Fatima Zahra(as) Hun Ay Mere Mola
Ye Keh Ke Maa Ne Alamdar Sheh Ko Saunp Diya
Tere Liye Hai Ye Hadiya Hussain(as) Teri Qasam

Mita Raha Hai Ye Matam Yazeediyat Ke Fasad
Hai 14 Sadiyon Se Ab Tak Khuda Ka Ghar Abad
Ye Tere Ghar Ka Hai Sadqa Hussain(as) Teri Qasam

Mujhe Yaqeen Hai Sab Hai Teri Ata Ka Asar
Teri Nigha-e-Karam Ho Na Gar Takkallum Par
Ye Kuch Bhi Likh Nahi Sakta Hussain(as) Teri Qasam.
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------