MERE AKBAR KO KAHIN DEKHA HAI | Mesum Abbas Nohay 2022 | Hazrat Ali Akbar Noha | Salman Azmi
Listen to Mesum o Salman ♥️ after 4 years
MERE AKBAR KO KAHIN DEKHA HAI!
Jab bhi Salman aur Mesum kay naam sath me atay hain to sun’nay walo ko andaza hota ha kay koi aisa nauha sun’nay ko milay ga jis me masyab e Al e Muhammad kay mukhtalif pehlu sun’nay ko milein gy jese JABIR a.s , SHAIR E FIZZA s.a , ZAFAR E JIN ..
4 Saal honay ko aye hain mein Salman Azmi ka koi Nauha na parh saka aur uski wajah shayad yeh ha kay mujhse parha hi na jata kyuky jab Salman ki bat hoti ha mera zabt tutnay lagta ha ek arsay bad mujhe khayal aya kay Salman ka likha hua Mola Ali Akbar a.s ka nauha parhna chahiye Imam e Hussain a.s kay jawan kay agay humaray jawan ka ghum buhat chota ha kisi tarha mene khud pe qaboo rakh kar is nauhay ki audio mukamal ki lakin jo kaifiyat video k waqt hui woh naqabil e bayan hai mere liye video me nauha parhna mushkil hougaya Safdar Kaleem camera chalatay hue ro raha tha Arsalan se nauhay k misre bolay nahi ja rahy thy ek Qayamat ka saa mahool tha Maul a.s kisi ko jawan maut ka dagh na dy .. yeh Hussain ibn e Ali a.s ka hi hosla tha kay woh akbar jese jawan ki mayat bhi tanha utha laye or yeh hi woh ghum ha jo hume bhi ghumo me hosla deta ha .. Ap lougo ki samaat ki nazar kar raha hun yeh nauha Zarur suniye ga or Salman Azmi kay liye Fatiha parhiye ga ..
Mohtaj e Dua : Mesum Abbas
Noha Credits:
�Title Noha: Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai
�Reciter: Mesum Abbas
�Poet: Salman Azmi - (Additional Stanzas by Azlan Azmi)
�Composition: Composition: Raza Shah
�Special Thanks: Safdar Kaleem
Audio Credits:
�Chorus: Khan Brothers
�Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
�Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)
Video Credits:
�Director: Safdar Kaleem
�Editor: Safdar Kaleem (The Focus Studio)
�SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
� Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
� English Translation: Ahmed Virani (USA)
�Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)
LYRICS:
Haye AKBAR Haye AKBAR
Haye Haye AKBAR
Haye Haye AKBAR
Hayee....
Maqtal Mein Jab Gira, SHAH E DEE'N Ka Jawa'n Pisar
Are Ghash Kha Ke Gir Pare, SHAH E LAULAK Khaak Par
Are Sadma Wo Tha Ke Kuch Unhe, Ata Na Tha Nazar
Manzar Bata Rahi Hai, Riwayaat Mautbar
Hayee..
Apne Pisar Ki Laash Pe SHABBIR Gir Gaye
Shaana Hila Ke Laash Ka, Ye Puchne Lage
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere Akbar Ko..
Hayee....
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
1). Kaise Tujhko Lagi Hai Ye Barchhi
Kya Khabar Ye Tere Padar Ko Mili
Haye...Main To Be Maut Mar Gaya Hota
Mere AKBAR Ko Jo Lagi Hoti
Jaane Kyu Dil Mera Taraapta Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
2). Hayee..Mujhko Maloom Hai Wo Zakhmi Hai
Fauj Ye Uske Khoo'n Ki Piyasi Hai
Tere Seene Pe Jo Lahoo Hai Laga
Us Lahoo Main To Khusboo Uski Hai
Wo Yaqeenan Yahan Se Guzra Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
3). Tu Nahi Usko Janta Hai Agar
Mujhko Pura Yaqeen Hai Is Par
Usko Jo Dekhe Bhoolta Hi Nahi
Is Qadar Wo Hasee'n Hai Mera Pisar
Chaudhawe Chand Jaisa Chehra Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
4). Maine Usko Kaha Tha Aye Beta
Mujhko Mur Mur Ke Dekhte Jana
Haan Magar Is Tarah Gaya Hai Wo
Phir Palat Kar Kabhi Nahi Aya
Maine Har Simt Usko Dhoondha Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
5). Haye.. Jab Wo Zee'n Se Zamee'n Pe Aya Hai
Aakhri Baar Usko Dekha Hai
Haye Binayi Ja Chuki Meri
Ab Mera Din Mein Haal Aisa Hai
Mere Charo'n Taraf Andhera Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
6). Main Jo Awaz Doon Wo Aayega
Haan..Aa Ke Mujhko Gale Lagayega
Par Main Awaz Yun Nahi Deta
Apne Zakhmo'n Ko Wo Chupayega
Hai Bahadur ALI Ka Poota Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
7). Aur Ye Soch Kar Bhi Main Chup Hoon
Wo Na Dekhe Jo Larkhara Ke Giroo'n
Haan..Apni Quwat Ko Kar Raha Hoon Jama
Chal Ke Pairo'n Pe Main Wahan Pauhcho'n
Main Jo Tarpoon To Wo Tarapta Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
8). Usne Tujhko Yahan Nahi Dekha
Haan..Chhor Kar Warna Wo Nahi Jata
Tere Zakhmo'n Pe Rakhta Wo Marham
Tujhko Pani Mera Pisar Deta
Hayee Lekin Wo Khud Bhi Piyasa Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
9). Bola SALMAN AZMI Wo Jawa'n
Main Hi AKBAR Hoon Mere Baba Jaan
Na Hi Gehra Hai Itna Zakhm E Jigar
Na Hi Sadma Koi Hai
Zakhm E Sina
Jitna Sadma Tumhara Kehna Hai
Mere AKBAR Ko Kahi'n Dekha Hai
Tere Jaisa Hi Uska Seena Hai
Mere AKBAR Ko Kahi Dekha Hai
Mere AKBAR Ko Kahin Dekha Hai
Comments
0