twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Nohay 2022 | Teer Ke Baad | Syed Zain Ali Zaidi | Ali Asghar Noha 2022 | Muharram Nohay 2022-1444

Nohay 2022 | Teer Ke Baad | Syed Zain Ali Zaidi | Ali Asghar Noha 2022 | Muharram Nohay 2022-1444

Video Details

Title Noha | Teer Ke Baad Ali Asghar Ne Saha Hai Naiza
Recited By | Syed Zain Ali Zaidi  
Poetry By | Zeeshan Abidi 
Composition | Hasnain Mehdi 
Audio Recorded & Master/Mixing | Al Baqei Studio
Video & Edit | ZB Records
Label | ZB Records 
Chorus By | Hasnain Mehdi, Rizwan Mirza
Islamic Date | Muharram 2022/1444

==============================
Lyrics
Teer Ke Baad Ali Asghar Ne Saha Hai Naiza

Qabr Mai Seenaye Asghar Pay Laga Hai Naiza 

Khoon Mai Dooba Hai Besheer Ka Nazuk Sa Badan
Haye Ye Dekh Ke Khaimy Se Na Ajaye Behen 
Sath Lasha Liye Turbat Se Utha Hai Naiza

Aisa Chay Maha Ka Mazloom Kahan Dekha Hai
Haye Ik Roz Mai Do Baar Isey Mara Hai
Hulk Par Teer Kalejy Main Laga Hai Naiza

Haye Afsos Ke Zalim Ne Ye Socha Na Kabhi
Sath Besheer Ke Chid Jayenga Maa Ka Dil Bhi
Dekho Besheer Kay Kad Se Bhi Bara Hai Naiza

Boond Pani Na Mila Ran Main Jise Akar Bhi
Muskurata Raha Jo Teery Sitam Kha Kar Bhi
Haye Kya Iske Tabbasum Ka Sila Hai Naiza

Baap Ko Bety Ki Haalat Pe Rulane Ke Liye
Nok e Naiza Pe Charhi Lash Dikhane Ke Liye
Ran Main Sarwar Ka Badan Dhoond Raha Hai Naiza

Daikhti Reh Gayi Maa Jalti Zamee Par Rakh Ka
Shimr Ne Haste Huey Kata Jo Besheer Ka Sar
Sar Uthaye Huye Maqtal Se Chala Hai Naiza 

Na Ruka Jari Raha Naizy Pai Asghar Ka Safar
Zain O Zeeshan Wahin Barti Rahi Maa Ki Nazar
Sham Ki Raha Main Jis Simt Bara Hai Naiza
==============================