Nohay 2022 - SIRAT E MUSTAQEEM YA HUSSAIN - Joan Rizvi Title Noha 2022 - Muharram Nohay 1444-2022
Description
60,590 views Premiered Jul 29, 2022 Nohay 2022 - SIRAT E MUSTAQEEM YA HUSSAIN - Joan Rizvi Title Noha 2022 - Muharram Nohay 1444-2022 - Imam Hussain Noha - Imam Hussain - Shahadat Mola Hussain - Martyrdom Of Imam Hussain (as) Video Details! Reciter | Joan Rizvi Poetry | Zeeshan Abidi Composition | Own Rizvi Chorus | Own Rizvi & Team Vocals | MoonLab Studio UK Mixing | ODS Studio Karachi Videography | Farhan Naqvi (Uk) Video Edit | Imran Hussain Mani Special thanks | Own Rizvi and The management of Idara e Jafariya(london) Creatives | Qasim Shah Islamic Date | Muharram 2022/1444 ============================== ● N O H A - L Y R I C S ● siraat e mustaqeem ya hussain a.s hai bauhat azeem ya hussain a.s hussain her jawaz main khuda k naz o raz main yeh jibrael na kaha rasool say namaz main khuda ka hukum hai yehi berha do sajday ko nabi na sir uthay hussain hai sawar pusht per abhi yahi yeh faisla ker chuka hai khuda kehdo aey mustafa Aey bad naseeb kam nazar bhatak raha hai tu kidhar siraat e mustaqeem ki talsh main idhar udhar abhi bhi waqt hai sambhal naseeb apna khud badal khuda ko dhondna hai to jahan hussainiyat hai chal aa chalain karbala hoga razi khuda tu bhi kehday zura siraat e mustaqeem ya hussain a.s hai bauhat azeem ya hussain a.s Jo sab sa behtareen hai hussain hi woh deen hai ali ka noor e ain hai nabi ka dilnasheen hai hussain bay misaal hai kamal hi kamaal hai hussain bus hussain hai husain la zawaal hai waali e karbala yeh safeer e khuda haq ka yeh rasta Gali Gali nagar nagar sikhay kay matami safar chalaya maon na humain siraat e mustaqeem per bataya ma na dam ba dam hussain k liya hain hum hussainiyat ki raah main kabhi nahi rukain qadam jab bhi ghar sa chala mere maan na kaha yaad rekhna zura siraat e mustaqeem ya hussain a.s hai bauhat azeem ya hussain a.s Nikal sitam ki rah say yazed ki panah sa aey hur na be qarar ho milalay khud ko shah say suni jo hur na yeh sada sowe hussain woh chala ghulam aur pisar bhi thay laboon pa thi yehi sada mera aaqa hussain mera mola hussain bus yeh kehta raha Hussain hai woh be watan mila nahi jisay kafan issi ki zakhmi lash per tadapti reh gaye behan badan tha samnay magar kata hua tha iska sir thay zakham uska perahan ghareeb tha yeh kis kadar yeh sun k shimr aagaya sakina ki taraf berha chura k laash say ussay tamachay marta raha sunay jo laadli k bain na ayay lash ko bhi chain andhairay ban main khaak pa tadap tay reh gayay hussain yehi hai ishq ka sharaf nahi badal saka hadaf aseer ho k kafla chala jo sham ki taraf sina ki nook per charay siroon ka tha bayan yeh doobara zindagi milay nisaar ho hussain pay yeh sada na ruki joan o zeeshan ki day rahay hain sada siraat e mustaqeem ya hussain a.s hai bauhat azeem ya hussain a.s Z e e s h a n - A b i d i __________________________
Comments
0