twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

NEHJ UL BALAGHA - نہج البلاغہ | Joan Rizvi New Manqabat 2023 | Nehj e Balagha Manqabat 2023/1444

NEHJ UL BALAGHA - نہج البلاغہ | Joan Rizvi New Manqabat 2023 | Nehj e Balagha Manqabat 2023/1444

Video Details!

Reciter | Joan Rizvi
Poetry  | Ustad Hassnain Akbar
Composition | Joan Rizvi
Chorus | Own Rizvi and Team
Audio | ODS Karachi
Video | RIZ Records
Creatives | Qasim Shah
Islamic Date | 

On the Blessed Month Of Rajab Releasing Exclusive Kalam On Nehj ul Balagha � 

‎#joanrizvi #nehjulbalagha #newmanqabat2023 #molaali #imamali #manqabatmolaali #13rajab #manqabatimamali #hazratmuhammadsaw #manqabat2023   

● MANQABAT - L Y R I C S ●

Asraray ilahi ka jahan khete hein isko
Deen e shah e wala ka nishaan khete hein isko
Daryaa e sukhun, tishna laban khete hein isko
Har Allamaa ka roh e rawan khete hein isko 
Hai kun kay musallay ki azan nehj e balaghaa
Khaliq ki zaban ka hai bayan nehj e balaghaa

———————————————

Hai kun k musallay ki azan nehj e balagha
Khaliq ki zaban ka hai zaban nehj e balagha

———————————————

1
Deti hai sada sadiyoon se ye nehj e balagha
Mana hai saheefoon ne meri bat ka sikka
Alfaaz mere km hein mataalib hein zyada
Goonga hai mere samne har bolna wala
Jab tak meri bayat koi Alam na karega 
Hafiz bhe wo khelaey to jahil he maregaa 

———————————————

2
Aaeena e farman e salooni kahen mujhko 
Khutbaat me lehjay ki rawani kahen mujhko
As ilm e Aliع ilm e ladunni kahen mujhko
Farmood e lab o nutqay ilaahi kahen mujhko
Takhleeq e mah o anjum o khursheed sikhae
Dunya ko mere khutboon ne toheed sikhae

———————————————

3
Ilhaam ka sarchasma hon aejaz e fasahat
14 soo baras se hai jawan rung e balaghat
Jab tak na koi dilse kare meri tilawat
Khulti nahe zehno pe kabhi ek bhe ayat
Jis dil ne tawassul na kia nuktaa e baa se 
Wo rijs sadaa door raha waheye khuda se

———————————————

4
Me kabay ki dewar me bhe nashar hui the
Me kalma e qissar me bhe nashar hui the 
Talwaaroon ki jhankar me bhe nashar hui the
Me halqa e aghyaar me bhe nashar hui the 
Ik hashar bapa kardia tha nutqay jali ne 
Jis roz dia khutba e “shaqshaqiyaa” Aliع ne 

———————————————

5
Shubhaat ka dunya me hua mujhse izalaa
Me humd ka alam me hon bazboot hawala 
Photay mere alfazon ki siyahi se ujalaa
Dum torti ayaat ko mene he sambhalaa
Kalme ki tarf qufr k dil moray hein mene
Kabay ki tarhan seenoo ky but toray hein mene

———————————————

6
Dunya mere alfaaz ki Haiderع ne basae
Mujh tak nahe hai bolne walon ki rasae
Dunya k khad o khaal ki tasweer dikhae
Tareekh mah o saal ki mene he btaeyee
Aaraab k wo husun hai jo chin nahe saktaa
Nuktoon me wo nuktay hein koi gin nahe sakta

———————————————

7
Me pund o naseehat me khasa-is ki imarat
Me wus-ate Itlaa aa me tambeh ho basharat
Gharat gare dunya me hathon hue gharat
Talwar ki talwar ibarat ki ibarat
Har subh e darakhshaan me meri lo ki chamak hai
Mujhme Asad ullah k lehjay ki dhamak hai 

———————————————

8
Karta hai raag o pay me sarayat mera lehjaa 
Har shahid e hasti ki shahadat mera lehjaa
Masoomع gharanay ki wilayat mera lehjaa
Hai aaj bhe ghebat me salamat mera lehjaa
Asraa me kabhi kofay kay darbar pe taari 
Lehjaa tha mera shaam kay bazar pe taari 

———————————————

9
Pas munzir e toseef hai mun kunto ka manzar
Hein jisme Aliع naeb e Sarkar e payamberص
Is ooj pe hai nehj e balagha ka muqaddar
Har lafz sahefay ka sadaa deta hai Akber
Beyat se meri hota hai zeeshan sahefaa
Dunya me hon me naeb E Quran saheefaa

———————————————

Hai kun k musallay ki azan nehj e balagha
Khaliq ki zaban ka hai zaban nehj e balagha

- H a s s n a i n - A k b a r
__________________________