twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

New Nohay 2023 | JAO AY ZULJANAH | Syed Mohammad Shah | New Noha 2023 | Muharram New Nohay 2023/1445

Nohay 2023 | JAO AY ZULJANAH | Syed Mohammad Shah Noha 2023 | Muharram New Nohay 2023/1445 | New Noha 2023 | Muharram Nohay 2023 | Muharram Nohay 1445H

Recited | Master Syed Mohammad Shah
Noha | Jao Ay Zuljanah
Poetry by | Madad Ali Jhon
Composition | Syed Raza
Audio | ODS - Karachi
Video | RIZ Records
Graphics | Ali Hasnain
Album | 2023/1445H
Special Thanks | Shabih e Zuljanah (Zulfiqar Badshah), Muzafar Ali Ifshani

☆ On the arrival of Muharram 1445 Exclusive Noha on "ZULJANAH" Rahwar e Hussain (as) - 2nd Noha of Muharram Album 2023/1445 " Jao Ay Zuljanah " Recited by Syed Mohammad Shah ☆

#syedmohammadshah #zuljanah #nohay2023 #muharram1445 #newnoha #muharramnohay #newnohay2023 #newnoha2023 #karbala #imamhussain #ashura #nohay #noha #muharram2023 #newnohay2023   

- ���� ������ -

Jao Aye Zuljanah

Kar Kay Humein Khuda Kay Hawalay Aye Zuljanah

Jao Aye Zuljanah

1) Khemo Mai Jaa kay Gham Na Kisi ka Barahiyo
Kesay Mai Teri Zeen Say Utra Chupaiyo 
Teero nay Kesay Ghera na Har Giz Bataiyo
Dena Meri Bhen ko Dilasay Aye Zuljanah

2) Bachpan say Apna Sath Raha Aj Kay Liyay
Chadar Mai Thi Khilai Ghiza Aj Kay Liyay
Tujko Tha Meri Maa Nay Chuna Aj Kay Liyay
Aa Puchay Ab Judai Kay Lamhay Aye Zuljanah 

3) Ankho Mai Bhar Kay Akhri Deedar Lay Kay ja
Sajjad Kay Liyay Meri Dastar Lay Kay Jaa
Ab Jung Khatam Hogai Talwar Lay Kay
Sub Hai Yahan Yeh Lootnay Walay Aye Zuljanah

4) Dil ka ik or Dard Sunata hon Mai Tujay
Aye Wo Waqt Jab Kay Tu Elan Say Yeh Sunay
Looto Tabarukat Ali o Batool Kay
Chadar Meri Bhen Ki Bacha lay Aye Zuljanah

5) Jao Tumhary Sabar Say Agaye ki Bat Hai
Taskeen Meray Dil ki Jo Zehra Sifat Hai
Gham Jis kay hain Ziyada tu Thori Hayat Hai
Khaye gi Wo Sakina Tamachaye Aye Zuljanah

6) Ab Teray Imtehan Ka Qisa Tamam Hai
Maqtal Mai Zair e Taigh jo Sajday Ka Kam Hai
Ab Us pay Mery Sath Meri Maa Ka Nam Hai
Sajday Kay Buss Yehi Hain Takazaye Aye Zuljanah

7) Aye Jaan Nisar Teri Wafa Kay Jahan Nisar
Tu ik Bachanay Walay tu Zalim Kai Hazarr
Or Us pay Fikr Ban Gai Yeh Mery Dil ka Baar
Meri Tarha ho tum b tu Pyasay Aye Zuljanah

8) Alqisa Joan Sheh nay Kaha Asp e Bawafa 
Teri Tarap Samjh Nahi Saktay Yeh Ba Khuda
Hongye na Baz Qatal Say Meray Yeh Askhiya
Kab Tak Yeh Teer Rok Sako Gaye Zuljanah

- Madad Ali Jhon -