twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Aaj Chup Ho Gai FATIMA (S.A) | Farhan Ali Waris | Ayyam e Fatmiyah | Noha 2023 | 1445

Title: Aaj Chup Ho Gai FATIMA (S.A)
Reciter: Syed Farhan Ali Waris
Poet: Syed Zeeshan Abidi
Composed By: Syed Farhan Ali Waris
Course: Rizwan Mirza, Hasnain Mehdi, Moshin Hashmi, Shahrukh , Sunny
Audio Recording: Owais Qureshi & Hassan Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Audio Mixed & Mastered by: Omar Qureshi (ODS - Studio Karachi)
Video: The Focus Studio(Safdar Kaleem)
Art: Ali Abbas 
Asst Art: Tabish Abbas
Special Thanks: FAW Team & Syed Hassan Ayaz Jaffri
=================================
Lyrics:
FATIMA(s.a.) FATIMA(s.a.)
FATIMA(s.a.) FATIMA(s.a.)
FATIMA(s.a.) FATIMA(s.a.)
FATIMA(s.a.)
Apne Bachon Say Aansoo Chupaye huay
Ro Rahe Hain Ali(a.s.) Sir Jhukaye Huay
Ghar Hai Weraan Kesi Yeh Raat Agai
Ruk Chuki ahai Sada Haay Tasbeeh Ki
Chor Kay Chal Basee FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.)
Har Sitam Sah Chuki FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
 Har Sitam Sah Chuki FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Jab Bhi Roi Hai Yeh Baap Ki Yad Main
Log Bolay ALI(a.s.) FATIMA(s.a.) Say Kahain
Itna Giryaa Hamein Sonay Deta Nahi
Raat Main Royn Ya Din Main Roya Karain
Ay Madine Kay Logo Suno
Ab Nahi Roy Gi FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Haal Apna Kisi Ko Suna Na Saki
Is Tarha Dar Gira Kay Utha Na Saki
Bas isi Dard Nay Mar Dala Isay
Apne MOHSIN Ko Bhi Yeh Bacha Na Saki
Zakhmi Pehlu Ka Ghum Bhool Kar
Sirf Roti Rahi FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Pao Uthte Na Thay Itni Zakhmi Thi Woh
 Apne Ghar Main Bhi Ruk Ruk Kay Chalti Thi Woh
Uski Tooti Hui Theen Sabhi Pasliyan
Kitni Takleef Main Saans Leti Thi Woh
Apne Baba Kay Hi Shehar Main
Kitni Mazloom Thi FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA  ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Gham Say Phat'ta Hai Dil Yeh Batatay Huay
Jab Tamancha Sitamgar Nay Mara Usay
Hrans Raha Tha Leen Samnay Tha Hasan
Sakht Sadma Tha Yeh Aik Maa Kay Liye
Apna Chehra Chupatay Huay
Khaak Pay Gir Gaee FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Kab Kisi Ko Bhi Dekha Hai Is Haal Main
Yeh Zaeefa Hai Athaarvay Saal Main
Ghum Uthay Hain Itne Kamar Jhuk Gai
Agai Hai Safedi Har Ek Baal Main
Ab Naا Aakar Satay Koi
Haan Bohot Thak Chuki FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Jab ALI(a.s.) Kay Galay Main Rasan Thi Bandhi
YA ALI(a.s.) Kah Kah kay Yeh Peche Chali
Zaalimon Say ALI(a.s.) Ko Churate Huay
Hath Par Tazyane Bhi Khati Rahi
Haan Magar Aaj Rotay Huay
Keh Rahay Hain ALI(a.s.) FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
====================
Ghar Say Zeeshan O Farhan Maiyat Uthee
Qabar Kay Paas Jab Lekay Puhanche ALI(a.s.)
Uthay Do Hath Turbat Say Aayi Sada
Soonp Do Ay ALI(a.s.) Mujh Ko Beti Meri
Rakh Kay Turbat Main Bolay ALI(a.s.)
Li gye YA NABI(s.a.w.w. ) FATIMA(s.a.)
Aaj Chup Ho Gai FATIMA(s.a.) ( 2x )
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
Mazlooma YA ZAHRA(s.a.)
============================================================