twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

New bibi fatima manqabat 2024 | Hasan Hussain ki Maa | subbaib abidi (Abd e Ali)

“Bismillah......Ya Ali (as) Madad”

bibi fatima Manqabat 2024

hasan (a.s) hussain (a.s) ki maa new manqabat bibi fatima zehra (s.a)

Composer & Reciter : Syed Subbaib Abidi (Abd e Ali)
Poet : Zeeshan Abidi
Audio : Tee Zee Studio (Tirmah Zaidi)
Video : Focus Studio (Safdar Kaleem)
Special Thanks : Dr Abbas Abidi, Amir Abidi, Irfan Zaidi
Contact : Kumail Abidi 00923111030710

#HasanHussainKiMaa #SubbaibabidiManqabat2024 #ManqabatBibiFatima

{ LYRICS AVAILABLE }

Zameen walo suno or asma'n walo
Hai kon fatima zehra suno jaha'n walo

1) Janab e fatima zehra hasan hussain ki maa
Nabi k ghar ka ujala hasan hussain ki maa
Zameen pai rab ka hawala hasan hussain ki maa
Ali sai pucho k hain kia hasan hussain ki maa
Khuda ki saari khudae sambhalti hain batool
Zamee'n pai reh k farishto ko palti hain batool

2) Azal sai jo bhi hai wo aaj tak batool ka hai
Zameen or ye sara falak batool ka hai
Hai do jahan main jitna namak batool ka hai 
Qasam hussain ki ab bhi fadak batool ka hai
Wo kainat ki malka hain or ghulam ho tum
Agar ye baat na mani namak haram ho tum

3) Wo iska ghar hai jahan sab imam aae hain
Rasool e pak bhi karny salam aae hain
Yahan malaeka ban kar ghulam aae hain
Farishtay chakki chalanay k kaam aae hain
isi ki marzi sai sara nizam chalta hai
isi k naam sai khaliq ka naam chalta hai

4) Ye dil batool k haq main kahan kahan bolay
Yahi wo beti hy khud jisko baap maa bolay
Khuda bhi taal na pae agar ye han bolay
Ik or khalq ho dunya abhi jahan bolay
Ab or kia ho teri manzilat ki had zehra
Ali bhi kehty hain mushkil main al madad zehra

5) Karay ka koi bhi kesy barabri teri
Hai kainat sai agay bhi sarwari teri
Bary baron sy bari hai kaneez bhi teri
Jo takht chor k karti hai nokri teri
Wo din ko raat k parday main dhal sakti hai
Ye kainat to fizza sambhal sakti hai

6) Abuturab ki har baat baat main zehra
Khuda ki hamd muhammad ki naat main zehra
Hain wajibaat main som o salat main zehra
khuda k deen k 14 nukaat main zehra 
Batool kehna bhi Allah ki i adat hai
Jo iskai naam sai jalta hai uspy lanat hai

7) Na pucho baat ye zeeshan or subayab sai
batool kia hain ye poocho rasool k rab sai
khuda sy pucha to bola ye bol do sab sai
Hamara noor hai jab say hai fatima tab sai
Qasam batool ki jo tha jahan wahin hota
Agar batool na hoti'n to kuch nahi hota