twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Bibi Fatima Manqabat 2024 | Zehra s.a Ki Sana | Syed Zain Ali Zaidi | Maqanbat 2024

Bibi Fatima Manqabat 2024 | Zehra s.a Ki Sana | Syed Zain Ali Zaidi | Maqanbat 2024 | 20 Jamadi ul Sani Manqabat 2024 | 20 Jamadi ul Sani Wiladat Bibi Fatima Zahra (sa)


Bismillah ..... Salam ..... Ya Ali (as) Madad

Title | Zehra s.a Ki Sana
Reciter | Syed Zain Ali Zaidi
Poet | Aimmad Naqvi
Composition | Nayyer Abbas Sakrdu
Mix & Master | ODS-Karachi
Back Vocalist | Hasnain Mehdi , Rizwan Mirza , Shahrukh Abbas , Khurram Sunny
Video & Edit | ZB Records 
Creative | AH Creation 
Label | ZB Records

On Birthday Of Janab e Syeda Fatima Zahra س Many Congratulations to Prophet Muhammad (saww) and Imam Ali (as) and especially to Imam e Zamana (AJF)

#ZehrasaKiSana #SyedZainAliZaidi #Maqanbat2024

===============================================================================
Lyrics:
Suno Sarkar Se Zehra Ki Sawari Ki Sana

Momino Waqiya Ik Roz Madinay Mai Hua
Aye Jab Hazrat e Salman Huzoor e Aqa
Ba Adab Hathon Ko Sarkar Ke Qadmon Pa Rakha
Kaha Sarkar Ne Kya Poochna Hai Hamse Bhala
Bolay Salman Jo Samjhen Mujhe Qabil Aqa
Sunney Hain Bibi Ke Naaqey Ke Fazail Aqa

Kaha Sarkar Ne Han Sunlo Fazilat Tum Abhi
Ayegi Hashr Mai Jis Waqt Hamari Beti
Hogi Buraq Se Or Achi Sawari Uski
Hoga Ankhon Se Aya’n Nur e Khuda Wand e Jali
Suno Salman Sawari Ki Jalalat Ki Daleel
Jibraeel Aik Taraf Aik Taraf Mikaeel

Naqat Ullah Wo Qura’n Ne Kaha Hai Jis Ko
Os Se Is Naqey Ki Azmat Hai Zyada Sunlo
Han Khuda Kehtey Hain Allah Ke Bandey Jisko
Papeyada Hai Ali Naqey Ke Aagey Dekho
Kya Nazara Hai Ke Hairaan Huye Hain Konain
Peechey Is Naqey Ke Atey Hain Hasan Or Hussain

Pardaey Noor Mai Naaqa Hai Hijab Ullah Ka
Saya e Aya e Tatheer Hai Mehmil Is Ka
Naaqa Noori Hai To Saya Bhi Nhi Hai Iska
Aisa Jalwa Hai Ke Khud Dekh Naa Paye Musa
Barh Ke Nabiyon Se Fazilat Ka Hai Hamil Naqa
Arsh e Azam Se Khuda Ne Kiya Nazil Naaqa

Innama Ne Rakha Naaqey Ko Nijasat Se Door
Hoga Naqey Ki Har Ik Simt Faqat Nur Hi Nur
Nur Aisa Ke Jissey Dekh Ke Jal Jaye Tuur
Hashr Mai Ayega To De Ga Sada Rab e Ghafoor
Iski Tazeem Mai Palkon Ko Bichado Logo
Ankhein Sab Bund Karo Sar Ko Jhuka Do Logo

Naaqa Maidan Se Jis Waqt Guzar Jaye Ga
Nur Hi Nur Zamanay Ko Nazar Ayega
Peshwayi Ko Farishton Ka Hujoom Ayega
Gunjey Gi Charon Taraf Aik Sada Salley Alaa
Kaha Nabiyon Ne Nahi Chahiye Ab Taaj Humey
In Ke Naqey Ko Jo Dekha Hui Mairaj Humey

Naaqa Jis Waqt Sar e Khuld e Baree’n Ponhchy Ga
Marhaba Boley Ga Phir Zain Har Ik Darwaza
Fatima Puchein Gi Kya Hoga Mere Shiyon Ka
Ay Aimaad Ayegi Os Waqt Ye Khaliq Ki Sada
Waada Hai Tum Se Mawadat Ka Sila Payein Ge
Ye  Muhibeen Jahanum Mai Nhi Jayenge

===============================================================================