twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

Shaban New Manqabat | Matam ki Fazilat Sunlo | Syed Subbaib Abidi (Abd e Ali) | New Qasida 2024

“Bismillah......Ya Ali (as) Madad”

Matam e Imam Hussain (a.s) Shaban Manqabat 2024

Suno matam ki fazilat sunlo | Matam e hussain (a.s) 

Composer & Reciter : Syed Subbaib Abidi (Abd e Ali)
Poet : Sharar Naqvi (India)
Audio : TeeZee Studio (Tirmah Zaidi)
Video : Focus Studio (Safdar Kaleem)
Special Thanks : Dr Abbas Abidi, Amir Abidi, Irfan Zaidi
Contact : Kumail Abidi 00923111030710

#ShabanManqabat2024 #MatamKiFazilatSunlo #subbaibabidimanqabat2024
New Exclusive Manqabat by Syed Subbaib Abidi on Matam Imam hussain (a.s)

"Lyrics Available"

Ahl e gham ahle wila ahle aqeedat suniye 
main bayan karta hun aijaz e imamat sunye 
ye bhi quran e mawadat ki hy ayat sunye
aaj shabir k matam ki fazilat sunye
deen e islam ka ghadar nahi kar sakta
sheh ka matam kabhi makkar nahi kar sakta 

dekh habeel ka adam nay kiya hay matam
or yaqoob k ghar main bhi bapa hy matam
khana e noor main hamza ka hua hy matam
phr bhi tu puchta hy hum sy k kia hy matam
jazba e ishq k asaar dikha deta hy
sheh ka matam bhi to shajron ka pata deta hy

meem kehta hy k meraj ki chah hy matam
or alif kehta hy insa'n ki baqa hy matam
tay pukar utha k toqqer ata hy matam
meem phr bola Muhammad sy wafa hy matam
hath shabir k matam main uthaty rehna
ho muhammad k wafadar bataty rehna

bakhuda hy meri is qom ki taqat matam
hy namazo ki tarha aik ibadat matam
karbala waly shaheedon ki hy nusrat matam
hy azadaron k jeeny ki zaroorat matam
phool hain dasht e nidamat main bikhar jaengy
humko rokogy jo matam sy to mar jaengy

hy khabar sabko k har samt qaza chhae thi
zindagani e jahan mot sy ghabrae thi
raasty band thy bazaron main tanhae thi
sab ko maloom hy 2 saal waba aae thi
qaid thy ghar main magar silsilae gham na ruka
ruk gaya sara jahan shah ka matam na ruka

ghor sy qom k bachon k suno ab halaat 
chalna bhi ata nahi kar bhi nahi sakty hain baat 
itnay kamsin hain k maa baap nahi chorty  sath
phr bhi uth jaty hain matam k liye nanhy sy hath
ho azadar e shah e deen bataya hoga
inko matam ali asghar ny sikhaya hoga 

aik din main ny ye ik ashiq e mola sy kaha
sin raseeda hain bht aap mujhy hy ye pata
aap k hathon main rehta hy musalsal raasha
kapkapaty hue jata hy dahan tak luqma
aap k hathon main ajata hy ye dum kesy
aap karlety hain shabir ka matam kesy

boly wo khoon e halali ki baqa hy matam
or pakiza aqeedon ki dawa hy matam
sab ki taqdeer main kab sheh ka likha hy matam
jinko zehra ny chuna unko mila hy matam
sab barabar hain zamano ka yahan raaj nahi
ishq e shabir kisi umr ka mohtaj nahi

yaad rehta hy hamain aaj bhi ashoor ka din
goonjti rehti hy kanon main sada e hal min 
wo khawateen o jawan or zaeef o kamsin
arbae'n k liye jatay hain karoron momin
ishq e shabir ki phr bijli karak jati hy
arsh tak matam e sarwar ki dhamak jati hy


aap k paas hy jo kuch bhi hy is gham ki ata 
mat karo bhai takaluf sy ye matam sheh ka
humko maloom hy mola ny diya pesa
waqt hy khul k karo matam e sarwar warna 
aap k haal ko behaal bhi karsakta hy
jisny bakhsha hy wo kangaal bhi kar sakt hy


khud pa zanjeer chalaty hain magar zinda hain 
qama bhi sar pa lagaty hain magar zinda hain
zakhm jismo py sajaty hain magar zinda hain 
khoon hum apna bahaty hain magar zinda hain 
jism e khaki ko bikharny nahi detin zehra 
hum azadaron ko marny nahi deti zehra 


haq e haider hi parhun bs ye hadaf hy mera 
aik kaba hy to ik qibla najaf hy mera 
han ye dil saqi e kosar ki taraf hy mera 
karbalai hun main ye bhi to sharaf hy mera
main bhi zinda hun sharar naqvi isi gham k liye
zindagi waqf hy shabir k matam k liye