Zainab Ka Baba | Mesum Abbas | 21 Ramzan Noha 2024 | New Mola Ali Noha
“Aaj Ghar Ghar Mai Matam Bapa Hai, Qatl Zainab Ka Baba Hua Hai”
Topic: Shahadat Imam Ali - Maula Ali Noha
Mesum Abbas releases his latest Imam Ali Noha for 21 Ramzan titled “Zainab Ka Baba” after Ibne Muljim Ne Haider Ko Mara Rozadaro Qayamat Ke Din Hain.
#21Ramzan #MesumAbbas #Zainabkababa #NohaImamAli2024
Noha Credits:
�Title Noha: ZAINAB KA BABA
�Reciter: Mesum Abbas
�Poet: Janab Mazhar Abidi
Audio Credits:
�Composition: Janab Mazhar Abidi
�Chorus: Rizwan Mirza - Hasnain Mehdi - Sunny - Shahrukh
�Audio Recording by M. Hassaan Qureshi / M. Ovais Qureshi (ODS - KHI)
�Audio Mix/Mastered by M. Omar Qureshi (ODS - KHI)
Video Credits:
�Dop: Saroj Studio (NJ-USA)
�Edit: TNA Records
�Set Design: Shabbir Ali / Zuhair Rizvi
�SEO Management / Coordinator / Cover Design: Yawer Abbas Damani (YAD Graphics)
� Social Media Management: Mussaib Sajjad (Bangalore-IND)
� English Translation: Ahmed Virani (USA)
�Sarparast: Syed Baqar Naqvi (President: Imambargah Dar e Hussain - New Jersey, USA)
- LYRICS
Aaj Ghar Ghar Mai Matam Bapa Hai
Qatl Zainab Ka Baba Hua Hai
lab pe jibreel ke ye buka hai…
1. kaale kapron mai hain aaj ahle aza
hai labon par sada ya ali eliya
nauhakhwani kaheen aur kaheen marsiya
saare alam mai gham ki fiza hai
2. majlison aur julooson mai zikr e ali
rozadaro ki ankhon me gham ki nami
burhe bache jawaan hain sabhi matami
rozadaro ke lab par sada hai
3. kale parcham uthaate huay sar ba sar
shahrahon pe nikle sabhi nauhagar
ek majlis se hai doosri ka safar
haan ye mauhol batlaaraha hai
4. rozadaro ke kandho pe taboot hai
sab hain khooni qaba aur rote huay
ya ali ya ali ki jo awaaz hai
har azadar ye keh raha hai
5. roke kehte hain hasnain sar peet kar
aayi uneesween ki ye kaisi sahar
dekha jaata nahi baap ka zakhmi sar
qabr e zehra mai aaho buka hai
6. roz raaton ko khaana khilaata tha jo
sab yateemo ke gham ko mitaata tha jo
ab nahi aayega roz aata tha jo
ye sitam bekason par kiya hai
7. baap ke gham me roti hain saidaniya
khaak uraati hain kehti hain sab betiyan
zindagi bhar karainge yoon aaho fughaan
ye qayamat ka gham jo mila hai
8. farshe majlis pe mesum ye nauha karo
jo masayib hain mazhar vo likhte raho
bibi zahra ko ashkon se pursa bhi do
bus ye aghaz e karbobala hai
Comments
0