Eid E Ghadeer Manqabat 2025 | Ghadeer E Khum Main | Mir Sajjad Mir | Mola Ali Qasida 2025

Mir Sajjad Mir 4,382 views June 12, 2025 06:51
Share:

Description

Eid E Ghadeer Manqabat 2025 | Ghadeer E Khum Main | Mir Sajjad Mir | Mola Ali Qasida 2025   Bismillah, Salam o Ya Ali a.s Madad, Eid E Ghadeer Mubarak !!! Exclusive 18 Zilhaj Manqabat i.e Imam Ali Qasida. " man kunto maula fahaza ali maula "   Kalam Details |   Title: GHADEER-E-KHUM MEIN Written & Recited by: Mir Sajjad Mir Composed by: Janab Waqar Sultanpuri Topic : Ghadeer Special Audio: 92 Studio Video: TNA Records Creatives: Alamdar Rizvi (SAR)   Manqabat Lyrics |   Ban gaya mimbar paalān Ghadīr-e-Khumm mein Dab gaye Sheikh ke armaan Ghadīr-e-Khumm mein   Ab koi hukm na aaye zamāne ke liye Ho gaya aakhri elān Ghadīr-e-Khumm mein   Garm jhonkon pe hawāon ke Abu Zar hans kar Parhtay hain Sura-e-Rahmān Ghadīr-e-Khumm mein   Parda-e-chashm se aansu nikal aaye bāharash Is qadar khush huay Salmān Ghadīr-e-Khumm mein   Unko paalān milenge to kahin jāenge Sheikh hain be-sar-o-sāmān Ghadīr-e-Khumm mein   Hain sar-e-manbar-e-paalān Ali aur Nabi Do nazar aate hain Qur’ān Ghadīr-e-Khumm mein   Unko darr lagta hai pathar na baras jāen kahin Yun nahin jaate Musalmān Ghadīr-e-Khumm mein   Kuch to kam ho gaya hoga yeh sadā di Rab ne Abu Tālib tera ehsān Ghadīr-e-Khumm mein   Ya Bani maar doon pathar unhein Qanbar bole Phir nazar aa gaye Sheitān Ghadīr-e-Khumm mein   Meer Sajjād uri Sheikh ki neenden sāri Ho gaye khwab pareshaan Ghadīr-e-Khumm mein   #EidEGhadeer2025 #MirSajjadMir #GhadeerEkhum #18zilhaj #GhadeerManqabat #GhadeerQasida #mirhasanmir #Molaali #manqabat2025 #mankuntumaula #qasida2025 #Qawwali #eideghadeer #prophetmuhammad

Comments

0
  • No comments yet. Be the first to comment.
Login to comment