twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

New Manqabat 2020 | Yeh Kahani Phir Sahi | Mir Hasan Mir | 2020/1441 | Manqabat | 20th Album

Bismillah ..... Salam ..... Ya Ali (as) Madad

New Manqabat 2020 | Yeh Kahani Phir Sahi | Mir Hasan Mir | 2020/1441 | Manqabat | 20th Album

Video Info :-

Manqabat Title | ☆ Yeh Kahani Phir Sahi ☆
Recited By | Mir Hasan Mir
Poetry By| Mir Sajjad
Tune| Raza Shah
Creatives | SAR Creative Alamdar Raza
Audio| ODS Karachi
Video| TNA Ali Arman
Translation| Ahmad Virani usa
Social Media Team | Aun Zaidi -  Ali Hasnain Qilvi - Alamdar Raza - Yawer Damani

New Manqabat By Mir Hasan Mir | On the Auspicious Occasion of ☆ Blessed Month of Rajab ☆ Gift for All Momineens ☆

Date: 1st Rajab 1441H


#MirHasanMir ‪‎#MirHasanMirManqbat2020 #YehKahaniPhirSahi

****************************

●● MANQABAT LYRICS ● ● 

●Kis ne kab kalma parha-tha, Ye kahani phir sahi
Kon kab maidaan se bhaaga, Ye kahani phir sahi

●Fatima ke dar pe taarey ko utar-ta dekh kar
Kis ka kayse utra chehra, Ye kahani phir sahi

●Bas ye kaafi he Ali Khaybar ulat kar aa gaye
Kis ne kitna maal loota, Ye kahani phir sahi

●Zulfiqar e Haidary se bach gaya tha Amr-e-aas
Haan magar kayse bacha tha, Ye kahani phir sahi

●Umr bhar naraaz jis-se Binte Payghambar rahi
Us shaqi ka naam kya tha, Ye kahani phir sahi

●Mat karo aapas me jhagra, he ye paigham e Habib
Me huwa tha kayse zinda, Ye kahani phir sahi

●Jis asaa ke aasare par Umr bhar Moosa rahe
Us asaa par kya likha tha, Ye kahani phir sahi

●Parda e ghaybat se jab bhi aayega mera Imam
Kis ka pehle sar urhega, Ye kahani phir sahi

●Uss me ghayron ke nahi, apnon ke bhi naam ayenge
Kon he dushman Ali ka, Ye kahani phir sahi

●Kon tha meraj me Sajjad mehv e guftagu
Rehne do parde ka parda, Ye kahani phir sahi

Related Videos