Ya Qahir Al Adou Title Noha | Syed Zain Ali Zaidi | Muharrum Noha 1442 / 2020

Zain Ali Zaidi 2,180 views August 16, 2020 07:07
Share:

Description

Ya Qahir Al Addo Title Noha | Syed Zain Ali Zaidi | Muharrum Noha 1442 / 2020  Video Info :- Reciter | Syed Zain Ali Zaidi (Zaidi Brother) Kalam | Ya Qahir Al Addo  Poetry | Raza Shah Composition | Raza Shah Event - Ayyam Muharrum 1442 / 2020 Audio & Mixing | ODS Studio Video & Editing | TNA Production Creative | Qasim Zaidi Label | ZB Records Media Partner | Shia Online Islamic Date | Ayyam-e-Muharrum 1442 Lyrics ======================= Ya Qahir Al Addo ======================= Ya Ali Ya Ali Ya Ali  Ya Ali Ya Ali Ya Ali  Ya Qahir Al Adou  Ya Wali Al Wali Ya Mazhar Al Ajaib Ya Murtaza Ali a.s 1- Be Khabar Hoon Muje Ba Hosh Bana Ishq e Ali a.s Mujko Andazay Gadai Ke Sikha Ishq e Ali a.s Dil Ko Tareekiye Zulmat Se Bacha Ishq e Ali a.s Apne Allah Ke Raste Pe Laga Ishq e Ali a.s 2- Wo Jo Har Roz Ubharti Hai Sahar Teri Hai Yani Jo Azmaton Wali Hai Khabar Teri Hai  Rah e Toheed Hai Kiya Rah Guzar Teri Hai Hai Jo Allah Ki Ankho Mai Nazar Teri Hai 3- Hai Falak Sar Pe Uthaye huye Ahsaan E Ali a.s Do Jahano Pe Hai Saya Kiye Damanay Ali a.s Ye Batayenge Tumhe Mesum O Salam Ali a.s Raazay Kun Hai Ke Jissy Kehte Hain Faizan e Ali a.s 4- Thaak Gai Aqal Ki Raftar Wama Adraka Sari Mantak Gai Bekaar Wama Adraka Dil Ne Awaz Di Ik Baar Wama Adraka Rutba e Haider e Karar a.s Wama Adaraka 5- Ya Ali Ilm Ka Dar Sir e Illah Ukda Kusha Noor e Haq Shah e Najaf Qibla e Di’n Dast e Khuda  Raaziq e Arz o Sama Haq Ka Wali Qibla Numa Ya Muzamil Ya Mudassir Ya Ali Ain Ullah 6- Ghaam Ke Maaro’n Ko Tera Naam Dua Ki Tarhan Saray Aalam Ke Liye Ukda Kusha Ki Tarhan Har Sawali Ko Laga Behr e Sakha Ki Tarhan Bas Nusairi Se Mila Hai Tu Khuda Ki Tarhan 7- Ya Ali Ap Zamanay Mai Khuda Ki Aayat Mere Mamdohu Tera Zikr Khuda Ki Chahat Tere Hubdar Pe Jari Hai Khuda Ki Rehmat  Tere Dushman Pe Barasti Hai Khuda Ki Lanat Tum Pe Qurban Nasiraan e Ali Shehre Khuda  Lanatullah Harifaan e Ali Shehre Khuda Lanat Lanat Lanat Be Dushman e Ali Lanat Be Dushman e Ali Lanat Be Dushman e Ali 8- Aye Khuda Hoti Hai Unpe Hi Ata e Haider Jinka Hota Hai Har Ik Kaam Bara e Haider Zain Karte Ho Jo Har Aan Sana e Haider Is Ka Matlab Hai Ke Razi Hai Khuda e Haider Ya Qahir Al Adou  Ya Wali Al Wali  

Comments

0
  • No comments yet. Be the first to comment.
Login to comment