twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

3 Shaban Manqabat 2020 - Hussain Ka Haq Hai - Joan Rizvi Manqabat 2020 - Manqabat Imam Hussain 2020

3 Shaban Manqabat 2020 - Manqabat Imam Hussain 2020 - Imam Hussain Qasida - Hussain Ka Haq Hai - Joan Rizvi Manqabat 2020 - Imam Hussain Manqabat 2020 - New Manqabat 2020 -

Video Details!

Noha Khuwa - Joan Rizvi
Manqabat Title - Hussain Ka Haq Hai
Poet - Ustad Hassnain Akbar
Composition - Ustad Akbar Abbas
Chorus - Own Rizvi and Team
Audio - ODS Karachi
Video | Focus Studio ( Safdar Kaleem)
Graphics | Humair Rizvi
Islamic Date | 3 Shaban Wiladat Imam Hussain ibne Ali (as)

-----------------------------------

On the Blessed Event of 3 Shaban Birthday of Imam Hussain Many congratulations to Prophet Muhammadc (saww), Imam Ali (as), Bibi Fatima (sa) and especially to Imam e Zamana (AJF).

============================== 

● MANQABAT - L Y R I C S ●

Ibadatoon k jahan pa Hussain a.s ka haq hai 
Namaz, Sajda, Azaan pa Hussain a.s ka haq hai

Yeh keh kay chordia Hur a.s na sham ka lashkar
khula yeh soora tobah ka tarjuma mujh per 
her aik sachi zabaan pa Hussain a.s ka haq hai 

Khuda ki bakshi hui jaan to lay chuki thi qaza
mere Imam a.s na dobara mujha zinda kia
Bus ab Habib a.s ki jaan pa Hussain a.s ka haq hai 

woh bargah ho masjid k khane e kaaba
woh kohay toor ki manzil ho bad e asshora
jahan Khuda hai wahan par Hussain a.s ka haq hai

Hum ahlay ishq jo ghar main alam sajatay hain 
taruf apna zamanay ko yeh batatay hain 
makeen hum hain makaan pa Hussain a.s ka haq hai 

yazeed dekh yehi fatha ki daleelain hain
tere sipah sa berh ker yahan sabeeelain hain 
yeh dekh aabay rawan par Hussain a.s ka haq hai 

yehi to matmi zanjeer main manadi hai
Ali k laaal mere zindagi tumhari hai 
mere lahoo mere jaan par Hussain a.s ka haq hai 

ihaahi khuld ki ahlay aza ko kya hai khabar
Ghulam khush rehaingay malikoon pa chohkat par
waheen basa day jahan par Hussain a.s ka haq hai 

jo pehray dar rahay thay mazar e Zainab s.a per
woh sab Shaheed yeh khetay hain sham k Akbar
her inqilab e zaman par Hussain a.s ka haq hai 

- H a s s n a i n - A k b a r -
__________________________

Related Videos