twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

MAALIK YA HUSSAIN - Joan Rizvi Noha 2020 - New Title Noha 2020 - Muharram 1442

1,867 views August 20, 2020 08:57
Description
Nohay 2020 - MAALIK YA HUSSAIN - Joan Rizvi Nohay 2020 - New Title Noha 2020 - Muharram 1442 Nohay 2020 - MAALIK YA HUSSAIN With Lyrics - Joan Rizvi New Noha 2020 - Noha Ali Akbar - Muharram 1442 - Nohay 2020 - Imam Hussain Noha - Imam Hussain - Shahadat Mola Hussain - Martyrdom Of Imam Hussain (as) Video Details! Noha Khuwa - Joan Rizvi Poet - Zeeshan Abidi Composition - Own Rizvi Chorus - Own Rizvi and Team  Audio - ODS Karachi Video - SHAJ Productions Islamic Date | Muharram 1442 hijri ● NOHA - L Y R I C S ● Malik Ya Hussain(as)  Bich gaya farash e Aza chahaye Muharram ki fiza Her taraf goonj rahe hai tere matam ki sada yeh tere ghum ka hi sadqa hai Hussain Ibn Ali (as) agayeen Fatima Zahra(sa) jo aza khana saja  sukoon e dil tera hi ghum qadam qadam tera karam  jahan jahan gaye nazar hain tere Ghaz(as) kay alam  her azadar tera Ya Hussain(as) Da raha hai yeh sada Ya Hussain (as) Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Yeh Azadari alamdari yeh pursa dari her yazeedi pay hai bus khoof issi ka taari roknay walay yeh ailaan humara sunlein hashar tak Matam e Shabeer(as) rahay ga jaari zulm hua sitam hua qadam humaray na rukay  haye Hussaina ki sada datay rahay chaltay rahay kaun rokay ga Bhala Ya Hussain(as) Hum hain Zahra(as) ki dua YA Hussain(as) Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Mere Saansoon ki nahi koi bherosa mola  dil hai bechain sada sunlay ghareeb e Zahra(sa) tum ko Akbar(as) ki qasam ab ho karam yeh mujh per jeetay jee dekhlon ik baar tumhara roza hai karbala Sukoon e man Hai karbala Junoon e man  hai yeh armaan mera Ya Hussain(as) Jaoon main karbobala ya Hussain(as) Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Misle Hur(as) mera muqaddar bhi jagaday Mola(as) mere mathay pa bhi roomal sajaday Mola(as) Aey mere Mola o Aaaqa main tere khadim hon  jaisa tu chahay mujha waisa banaday Mola(as) Sunlay mere dil ki sada mola mujha apna bana naam tere lab pay rahay mujh ko nahi khoof e qaza aey zamanay ki baqa Ya Hussain Zindagi tumpay pa fida Ya Hussain Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Tere Khilqat pa do alam ka khuda naaz keray ussay naraz hai rab jo tujha naraz keray  tu jissay chahay ata kerday pisar aey Mola tere jhoolay sa jo mus ho to woh parwaz keray  fitrus o rahib na kaha jo bhi mila tujhsa mila tu hai sakhi ibn e sakhi tere ata sabsa juda aey dil e shair e Khuda Ya Hussain Aey Muhammad(pbuh) ki dua ya Hussain Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) aey azadaroon sunoon farz nibhana hai tumhain  apnay bachoon ko azadar banana hai tumhain de kay Abbas e dilawar ka alam hathoon main  aik wafa daar alam dar banana hai tumhain  chahay chalay jese hawa bujh na sakay ab yeh diya  bichta rahay farshay aza jari rahay yeh sil sila bus rahay lab pa sada Ya Hussain(as) Zikar hai sabsa bara Ya Hussain (as) Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Haye Ashoor ka din kese qayamat laya  barchi Akbar ko lagi chid gaya seena uska Qasim o Aun o Muhammad Ali Asghar na rahay  Jissay dhaaras thi woh Abbas e dilawar na raha  jab koi baqi na raha mola tu hi ran ko chala  pyasa hazaroon sa lara ghaib sa aye sada Loot aa Rab e Wafa Ya Hussain Tujhsa Raazi hai Khuda Ya Hussain Jab suni tunay sada shukar e khuda kernay laga teer barsaye gayay mara kisi na naiza Fatima Zehra ne kis tarhan sambhala tujhko  Haye maqtal main tu jab khaak pa ghooray sa gira shimar layeen teeg e jaga thaamay hua aagay bherha  seenay pa zaano ko rekha  aur gala kaat diya  thi yeh Zahra ki Sada Ya Hussain Kat gaya tera gala Ya Hussain Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) Her azadar ka tujhsa hi bheram hai Mola tere matam k sabab seenay main dam hai mola tere aashiq tere nokar hain tere zakir hain  Joan e Zeeshan pa tera yeh karam hai Mola  Asash e aza behtay rahain ghum main tere jeetay rehain  haye Hussaina ki sada datay rahay rotay rahain  Kya muqaddar hai mere ya Hussain  Lab pa Noha hai tera ya Hussain  Malik Ya Hussain (as)  Malik e Karbobola Ya Hussain(as) - Z e e s h a n - A b i d i - ______________________________