twitter-with-circle youtube-with-circle instagram-with-circle facebook-with-circle

1st Shaban Manqabat Bibi Zainab 2020 - Joan Rizvi Manqabat - Ya Zainab e Kubra Ya Sani e Zahra (sa)

1 Shaban Manqabat 2020 - Manqabat Bibi Zainab 2020 - Kamal e Khilqat e Parwardigar Ha Zainab (sa) - Bibi Zainab Manqabat - Joan Rizvi New Manqabat 2020 - Madh e Zainab - New Manqabat 2020 - Bibi Zainab Manqabat 2020 - Hazrat Zainab (sa) - Ya Zainab e Kubra

Video Details!

Noha Khuwa - Joan Rizvi
Manqabat Title - Kamal e Khilqat e Parwardigar Ha Zainab
Poet - Noor Ali Noor
Composition - Own Rizvi
Chorus - Own Rizvi and Team
Audio - ODS Karachi
Video | Focus Studio ( Safdar Kaleem)
Graphics | Humair Rizvi
Special Thanks | Janab Asad Agha 
Islamic Date | 1 Shaban Wiladat Bibi Zainab Bint e Ali (as)

-----------------------------------

On the Blessed Event of 1 Shaban Birthday of Bibi Zainab Many congratulations to Prophet Muhammadc (saww), Imam Ali (as), Bibi Fatima (sa) and especially to Imam e Zamana (AJF).

============================== 

● MANQABAT - L Y R I C S ●

Ya Zainab e Kubra (sa) Ya Sani e Zahra (sa)

Kamal e khilqat e Parwardigar hai Zainab(sa)
Nabi ka maan Ali ka Waqar hai Zainab(sa)
Jalal e Rab ki aik ainadar hai Zainab(sa)
kalam kerti hui zulfiqar hai Zainab(sa)
Jo jaan e kon o makaan hai yeh uski beti hai 
Jo apnay bap ki ma hai yeh uski beti hai 

Ali Wali sa hi paya khuda na Zainab ko 
Batool jaisa sajaya khuda na Zainab ko 
Jiloo main apni jilaya khuda na Zainab ko 
yeh soch ker hi banaya khuda na Zainab ko 
Ali k khuwab ki tabeer ho to aise ho 
Hussain ki koi hamsheer hoto aise ho

Issi k dam sa sar e sham her ujala hai 
issi k azm nay islam ko sambhala hai 
her aitbar sa jo mohtabar hawala hai 
issi na goud main us karbala ko pala hai 
Ali k lehjay main jab yeh kalam kerti hai 
to isko nehjul balagha salam kerti hai 

Nishan e kufr ubharnay nahi Diya isnay
khuda ka deen bikhar na nahi Diya isnay
laho ka rung utarnay nahi Diya isnay
kissi Shaheed ko marnay nahi Diya isnay
khuda k deen ki sab zaib o zain lagnay lagi
yeh karbala sa jo nikli Hussain Lagnay lagi 

issi na rehmat e rehman ko bachaya hai 
issi na asar k imkaan ko bachaya hai 
issi na azmat e insan ko bachaya hai 
issi na boltay Quran ko bachaya hai 
na hoteen ap to yeh deen badal gaya hota
lapaktay sholoon main islam Jal gaya hota

Issi na lasha kia paymal beyat ka
her aik zehan sa khurcha khayal bayt ka
kuch aisa kerdia Zainab na haal bayt ka
na hoga hashr talak ab sawal bayt ka 
bus aik bar main rabtay hayat kaat dia
talab jo kerta tha bayt woh hath kat dia

dia hai deen ko isnay dawam khutboon sa 
kalam e rab ko kia isnay aam khutboon sa
ajal ka kam lia ba nayam khutboon sa 
ulat k rekhdia darbar sham khutboon sa 
dil e Hussain ka akas ban k boli hai 
kabhi Ali kabhi Abbas ban k boli hai 

kadeer zaat ki qudrat na bhi salami di 
issi ghazi ki bayt na bhi Salamat di
issay Hussain ki jurat na bhi salami di
issay Ali ki shujaat na bhi salami di
siroon sa zaam e khilafat utarnay wali 
yeh hai Yazeed ko ghar ja k marnay wali 

Rawaan jo seenay main dam dam ba dam hai Noor Ali 
Khula hua siroon pa jo Alam hai Noor Ali
humaray pas jo yeh fasl e ghum hai Noor Ali
Yeh shahzadi ka hum per karam hai Noor Ali
yeh aaj tak aza e Hussain jaari hai 
Dil e yazeed pa Zainab ka khoof tari hai 

- N o o r - A l i - N o o r -
__________________________

Related Videos